Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Wahshat

A lover is also known

for acting wild. These verses represent that state of the lover. You would be amazed to discover what this lover does at the extreme end of his wildness. Equally interesting would be to see how he moves out and reaches wilderness to express himself unabashedly.

ishq mujh ko nahīñ vahshat sahī

merī vahshat tirī shohrat sahī

If not love, then madness, my feelings deem you be

And so be it my craziness is cause of fame for thee

ishq mujh ko nahin wahshat hi sahi

meri wahshat teri shohrat hi sahi

If not love, then madness, my feelings deem you be

And so be it my craziness is cause of fame for thee

Mirza Ghalib

ghar vahshat se laraztā huuñ magar jaane kyuuñ

shaam hotī hai to ghar jaane ko chāhtā hai

ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

Iftikhar Arif

log kahte haiñ ki tum se mohabbat hai mujhe

tum jo kahte ho ki vahshat hai to vahshat hogī

log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe

tum jo kahte ho ki wahshat hai to wahshat hogi

Abdul Hamid Adam

bachpan meñ ham the thā aur koī

vahshat hone lagtī hai yādoñ se

bachpan mein hum hi the ya tha aur koi

wahshat si hone lagti hai yaadon se

Abdul Ahad Saaz

aaise Dare hue haiñ zamāne chaal se

ghar meñ bhī paañv rakhte haiñ ham to sambhāl kar

aaise Dare hue hain zamane ki chaal se

ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal kar

Adil Mansuri

jāgtā huuñ maiñ ek akelā duniyā sotī hai

kitnī vahshat hijr lambī raat meñ hotī hai

jagta hun main ek akela duniya soti hai

kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai

Shahryar

kuchh be-Thikāna kartī rahīñ hijrateñ mudām

kuchh merī vahshatoñ ne mujhe dar-ba-dar kiyā

kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam

kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya

Sabir Zafar

mere māthe pe ubhar aate the vahshat ke nuqūsh

merī miTTī kisī sahrā se uThā.ī ga.ī thī

mere mathe pe ubhar aate the wahshat ke nuqush

meri miTTi kisi sahra se uThai gai thi

Qamar Abbas Qamar

apne hamrāh jo aate ho idhar se pahle

dasht paḌtā hai miyāñ ishq meñ ghar se pahle

TRANSLATION

Know, if you come along with me, from here,

Jungle precedes the home in love, my dear.

Sagar Akbarabadi

apne hamrah jo aate ho idhar se pahle

dasht paDta hai miyan ishq mein ghar se pahle

TRANSLATION

Know, if you come along with me, from here,

Jungle precedes the home in love, my dear.

Sagar Akbarabadi

Ibn e Insha

phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil hālat hai

bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

Aitbar Sajid

dayār-e-nūr meñ tīra-shaboñ sāthī ho

koī to ho jo mirī vahshatoñ sāthī ho

dayar-e-nur mein tira-shabon ka sathi ho

koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho

Iftikhar Arif

vo jo ik shart thī vahshat uThā ga.ī kyā

merī bastī kisī sahrā meñ basā ga.ī kyā

wo jo ek shart thi wahshat ki uTha di gai kya

meri basti kisi sahra mein basa di gai kya

Irfan Siddiqi

saudā-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai

majnūñ koī dost fasāna-nigār thā

sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai

majnun ka koi dost fasana-nigar tha

Bekhud Dehlvi

vahshateñ ishq aur majbūrī

kyā kisī ḳhaas imtihān meñ huuñ

wahshaten ishq aur majburi

kya kisi KHas imtihan mein hun

Khurshid Rabbani

vo jis ke naam nisbat se raushnī thā vajūd

khaTak rahā hai vahī āftāb āñkhoñ meñ

wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud

khaTak raha hai wahi aaftab aankhon mein

Iftikhar Arif

vo kaam rah ke karnā paḌā shahr meñ hameñ

majnūñ ko jis ke vāste vīrāna chāhiye

wo kaam rah ke karna paDa shahr mein hamein

majnun ko jis ke waste virana chahiye

Ameer Imam

ho sake kyā apnī vahshat ilaaj

mere kūche meñ bhī sahrā chāhiye

ho sake kya apni wahshat ka ilaj

mere kuche mein bhi sahra chahiye

Dagh Dehlvi

vahshateñ kuchh is tarah apnā muqaddar ban ga.iiñ

ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne ga.e

wahshaten kuchh is tarah apna muqaddar ban gain

hum jahan pahunche hamare sath virane gae

Khatir Ghaznavi

bastī bastī parbat parbat vahshat hai dhuup 'ziyā'

chāroñ jānib vīrānī hai dil ik vīrāna kyā

basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'

chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya

Ahmad Ziya

ishq par faa.ez huuñ auroñ tarah lekin mujhe

vasl lapkā nahīñ hai hijr se vahshat nahīñ

ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe

wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin

Ghulam Husain Sajid

na ham vahshat meñ apne ghar se nikle

na sahrā apnī vīrānī se niklā

na hum wahshat mein apne ghar se nikle

na sahra apni virani se nikla

Kashif Husain Ghair

in dinoñ apnī bhī vahshat ajab aalam hai

ghar meñ ham dasht-o-bayābān uThā laa.e haiñ

in dinon apni bhi wahshat ka ajab aalam hai

ghar mein hum dasht-o-bayaban uTha lae hain

Shahid Kamal

majnūñ se ye kahnā ki mire shahar meñ aa jaa.e

vahshat ke liye ek bayābān abhī hai

majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae

wahshat ke liye ek bayaban abhi hai

Qamar Abbas Qamar

vahshat ye aalam ki pas-e-chāk garebāñ

ranjish hai bahāroñ se ulajhte haiñ ḳhizāñ se

wahshat ka ye aalam ki pas-e-chaak gareban

ranjish hai bahaaron se ulajhte hain KHizan se

Javed Saba

ik din dukh shiddat kam paḌ jaatī hai

kaisī bhī ho vahshat kam paḌ jaatī hai

ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai

kaisi bhi ho wahshat kam paD jati hai

Kashif Husain Ghair

vahshat-e-dil ne kiyā hai vo bayābāñ paidā

saikḌoñ kos nahīñ sūrat-e-insāñ paidā

wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida

saikDon kos nahin surat-e-insan paida

Haidar Ali Aatish

hotī hai tere naam se vahshat kabhī kabhī

barham huī hai yuuñ bhī tabī.at kabhī kabhī

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi

barham hui hai yun bhi tabiat kabhi kabhi

Nasir Kazmi

jism thaktā nahīñ chalne se ki vahshat safar

ḳhvāb meñ naql-e-makānī tarah hotā hai

jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar

KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai

Faisal Ajmi

'shād' itnī baḌh ga.ī haiñ mere dil vahshateñ

ab junūñ meñ dasht aur ghar ek jaise ho ga.e

'shad' itni baDh gai hain mere dil ki wahshaten

ab junun mein dasht aur ghar ek jaise ho gae

Khushbir Singh Shaad

mujhe bachā le mire yaar soz-e-imshab se

ki ik sitāra-e-vahshat jabīñ se guzregā

mujhe bacha le mere yar soz-e-imshab se

ki ek sitara-e-wahshat jabin se guzrega

Qamar Abbas Qamar

ham tire saa.e meñ kuchh der Thaharte kaise

ham ko jab dhuup se vahshat nahīñ karnī aa.ī

hum tere sae mein kuchh der Thaharte kaise

hum ko jab dhup se wahshat nahin karni aai

Abida Karamat

fasl-e-gul aate vahshat ho ga.ī

phir vahī apnī tabī.at ho ga.ī

fasl-e-gul aate hi wahshat ho gai

phir wahi apni tabiat ho gai

Lala Madhav Ram Jauhar

ye khachā-khach bharī huī vahshat

be-basoñ ko basoñ se ḳhauf aaya

ye khacha-khach bhari hui wahshat

be-bason ko bason se KHauf aaya

Imran Shamshad Narmi

vaa.e qismat sabab is bhī ye vahshat Thahrī

dar-o-dīvār meñ rah kar bhī maiñ be-ghar niklā

wae qismat sabab is ka bhi ye wahshat Thahri

dar-o-diwar mein rah kar bhi main be-ghar nikla

Adeel Zaidi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now