ALL
Profile
Ghazal179
Sher195
E-book129
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari36
Audio45
Video79
Qita2
Qisse5
Blog5
Other
Naat1
Dagh Dehlvi
Ghazal 179
Sher-o-Shayari 195
milāte ho usī ko ḳhaak meñ jo dil se miltā hai
mirī jaañ chāhne vaalā baḌī mushkil se miltā hai
those who meet you lovingly then into dust you grind
those who bear affection, dear, are very hard to find
milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai
meri jaan chahne wala baDi mushkil se milta hai
those who meet you lovingly then into dust you grind
those who bear affection, dear, are very hard to find
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
vafā kareñge nibāheñge baat māneñge
tumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis kā thā
wafa karenge nibahenge baat manenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
-
Share this
- See Ghazal
sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñ
ham dekhne vāloñ kī nazar dekh rahe haiñ
sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
Qita 2
Qisse 5
Naat 1
BOOKS 129
Image Shayari 36
tumhaare KHat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa na thaa raqiib to aaKHir vo naam kis kaa thaa vo qatl kar ke mujhe har kisii se puuchhte hai.n ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa rahaa na dil me.n vo bedard aur dard rahaa muqiim kaun hu.aa hai maqaam kis kaa thaa na puuchh-gachh thii kisii kii vahaa.n na aav-bhagat tumhaarii bazm me.n kal ehtimaam kis kaa thaa tamaam bazm jise sun ke rah ga.ii mushtaaq kaho vo tazkira-e-naa-tamaam kis kaa thaa hamaare KHat ke to purze kiye pa.Dhaa bhii nahii.n sunaa jo tuu ne ba-dil vo payaam kis kaa thaa uThaa.ii kyuu.n na qayaamat aduu ke kuuche me.n lihaaz aap ko vaqt-e-KHiraam kis kaa thaa guzar gayaa vo zamaana kahuu.n to kis se kahuu.n KHayaal dil ko mire sub.h o shaam kis kaa thaa hame.n to hazrat-e-vaa.iz kii zid ne pilvaa.ii yahaa.n iraada-e-sharb-e-mudaam kis kaa thaa agarche dekhne vaale tire hazaaro.n the tabaah-haal bahut zer-e-baam kis kaa thaa vo kaun thaa ki tumhe.n jis ne bevafaa jaanaa KHayaal-e-KHaam ye saudaa-e-KHaam kis kaa thaa inhii.n sifaat se hotaa hai aadmii mash.huur jo lutf aam vo karte ye naam kis kaa thaa har ik se kahte hai.n kyaa 'daaG' bevafaa niklaa ye puuchhe un se ko.ii vo Gulaam kis kaa thaa
lutf vo ishq me.n paa.e hai.n ki jii jaantaa hai ra.nj bhii aise uThaa.e hai.n ki jii jaantaa hai jo zamaane ke sitam hai.n vo zamaana jaane tuu ne dil itne sataa.e hai.n ki jii jaantaa hai tum nahii.n jaante ab tak ye tumhaare andaaz vo mire dil me.n samaa.e hai.n ki jii jaantaa hai inhii.n qadmo.n ne tumhaare inhii.n qadmo.n kii qasam KHaak me.n itne milaa.e hai.n ki jii jaantaa hai dostii me.n tirii dar-parda hamaare dushman is qadar apne paraa.e hai.n ki jii jaantaa hai