Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aitbar Sajid's Photo'

Aitbar Sajid

1948 | Islamabad, Pakistan

Famous for romantic poetry filled with the emotions of separation and union

Famous for romantic poetry filled with the emotions of separation and union

Aitbar Sajid

Ghazal 46

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 34

abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ

kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon

kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka

jis ko ham ne chāhā thā vo kahīñ nahīñ is manzar meñ

jis ne ham ko pyaar kiyā vo sāmne vaalī mūrat hai

jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein

jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai

makīnoñ ke ta.alluq se yaad aatī hai har bastī

vagarna sirf bām-o-dar se ulfat kaun rakhtā hai

makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti

wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai

muḳhtalif apnī kahānī hai zamāne bhar se

munfarid ham ġham-e-hālāt liye phirte haiñ

muKHtalif apni kahani hai zamane bhar se

munfarid hum gham-e-haalat liye phirte hain

ta.alluqāt meñ gahrā.iyāñ to achchhī haiñ

kisī se itnī magar qurbateñ bhī Thiik nahīñ

talluqat mein gahraiyan to achchhi hain

kisi se itni magar qurbaten bhi Thik nahin

BOOKS 5

 

Image Shayari 7

 

Videos 4

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Other
Jo khayaal the na qayaas the

Unknown

Tumhain Dekh K Yaad Aata Hai Mujhay..... Kahin Pehlay Bhe Tum Sy Mila Hu Mein

Unknown

URDU POETRY - Na Khayal thay Na Qayaas Thay(AITBAR SAJID)

tumhe.n jab kabhii mile.n fursate.n mire dil se bojh utaar do

Tayyab Naved

RELATED Poets

More Poets From "Islamabad"

Recitation

Speak Now