Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye barson ka talluq toD dena chahte hain hum

Aitbar Sajid

ye barson ka talluq toD dena chahte hain hum

Aitbar Sajid

ye barsoñ ta'alluq toḌ denā chāhte haiñ ham

ab apne aap ko bhī chhoḌ denā chāhte haiñ ham

kisī dahlīz par āñkhoñ ke ye raushan diye rakh kar

zamīr-e-sub.h ko jhiñjhoḌ denā chāhte haiñ ham

jidhar ham rahe haiñ us taraf TuuTā huā pul hai

ye bāgeñ is se pahle moḌ denā chāhte haiñ ham

ye naubat kal jo aanī hai to sharminda nahīñ hoñge

marāsim ehtiyātan toḌ denā chāhte haiñ ham

'ajab dīvāngī hai jis ke ham saa.e meñ baiThe haiñ

usī dīvār se sar phoḌ denā chāhte haiñ ham

ta'alluq kirchiyoñ shakl meñ bikhrā to hai phir bhī

shikasta ā.inoñ ko joḌ denā chāhte haiñ ham

ye barson ka ta'alluq toD dena chahte hain hum

ab apne aap ko bhi chhoD dena chahte hain hum

kisi dahliz par aankhon ke ye raushan diye rakh kar

zamir-e-subh ko jhinjhoD dena chahte hain hum

jidhar hum ja rahe hain us taraf TuTa hua pul hai

ye bagen is se pahle moD dena chahte hain hum

ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahin honge

marasim ehtiyatan toD dena chahte hain hum

'ajab diwangi hai jis ke hum sae mein baiThe hain

usi diwar se sar phoD dena chahte hain hum

ta'alluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi

shikasta aainon ko joD dena chahte hain hum

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now