Sher on Sahra
While reading the stories
of love in poetry you must have passed through wilderness many a time. It is here that the lover finds a space for his wild activities. And it is here only that love reaches its realisation. You may experience this strange world of wilderness in these verses.
bahār aa.e to merā salām kah denā
mujhe to aaj talab kar liyā hai sahrā ne
bahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
-
Tag : Bahaar
sahrā ko bahut naaz hai vīrānī pe apnī
vāqif nahīñ shāyad mire ujḌe hue ghar se
sahra ko bahut naz hai virani pe apni
waqif nahin shayad mere ujDe hue ghar se
dekhnā hai tujhe sahrā to pareshāñ kyuuñ hai
kuchh dinoñ ke liye mujh se mirī āñkheñ le jā
dekhna hai tujhe sahra to pareshan kyun hai
kuchh dinon ke liye mujh se meri aankhen le ja
vus.at-e-sahrā bhī muñh apnā chhupā kar niklī
saarī duniyā mire kamre ke barābar niklī
wusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli
sari duniya mere kamre ke barabar nikli
ishq ne mansab likhe jis din mirī taqdīr meñ
daaġh kī naqadī milī sahrā milā jāgīr meñ
ishq ne mansab likhe jis din meri taqdir mein
dagh ki naqadi mili sahra mila jagir mein
rakkhī huī hai donoñ kī buniyād ret par
sahrā-e-be-karāñ ko samundar likheñge ham
rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par
sahra-e-be-karan ko samundar likhenge hum
-
Tags : Samundarand 1 more
kis ne sahrā meñ mire vāste rakkhī hai ye chhāñv
dhuup roke hai mirā chāhne vaalā kaisā
kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw
dhup roke hai mera chahne wala kaisa
-
Tag : Dhoop
ho sake kyā apnī vahshat kā ilaaj
mere kūche meñ bhī sahrā chāhiye
ho sake kya apni wahshat ka ilaj
mere kuche mein bhi sahra chahiye
ab us pe chāñd sitāre bhī rashk karte haiñ
vo ik diyā jo kabhī dasht meñ bujhāyā gayā
ab us pe chand sitare bhi rashk karte hain
wo ek diya jo kabhi dasht mein bujhaya gaya
maiñ to rahtā huuñ dasht meñ masrūf
qais kartā hai kām-kāj mirā
main to rahta hun dasht mein masruf
qais karta hai kaam-kaj mera
na ham vahshat meñ apne ghar se nikle
na sahrā apnī vīrānī se niklā
na hum wahshat mein apne ghar se nikle
na sahra apni virani se nikla
-
Tags : Viraniand 1 more
majnūñ se ye kahnā ki mire shahar meñ aa jaa.e
vahshat ke liye ek bayābān abhī hai
majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae
wahshat ke liye ek bayaban abhi hai
-
Tags : Shahrand 1 more
vahshī raqs chamakte ḳhanjar surḳh alaav
jangal jangal kāñTe-dār qabīle phuul
wahshi raqs chamakte KHanjar surKH alaw
jangal jangal kanTe-dar qabile phul
-
Tag : Judai
mere 'anāsir ḳhaak na hoñ bas rang baneñ
aur jangal sahrā dariyā par barse rang
mere 'anasir KHak na hon bas rang banen
aur jangal sahra dariya par barse rang