Meer Hasan
Ghazal 95
Sher-o-Shayari 106
aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz
ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
-
Share this
- See Ghazal
Rubai 4
Naat 1
Masnavi 1
BOOKS 63
Image Shayari 5
dilbar se ham apne jab mile.nge is gum-shuda dil se tab mile.nge ye kis ko KHabar hai ab ke bichh.De kyaa jaaniye us se kab mile.nge jaan-o-dil-o-hosh-o-sabr-o-taaqat ik milne se us ke sab mile.nge duniyaa hai sambhal ke dil lagaanaa yaa.n log ajab ajab mile.nge zaahir me.n to Dhab nahii.n hai ko.ii ham yaar se kis sabab mile.nge hogaa kabhii vo bhii daur jo ham dildaar se roz-o-shab mile.nge aaraam 'hasan' tabhii to hogaa us lab se jab apne lab mile.nge
hai dhyaan jo apnaa kahii.n ai maah-jabii.n aur jaanaa hai kahii.n aur to jaataa huu.n kahii.n aur jab tuu hii kare dushmanii ham se to Gazab hai tere to sivaa apnaa ko.ii dost nahii.n aur mai.n hashr ko kyaa ro.uu.n ki uTh jaate hii tere barpaa hu.ii ik mujh pe qayaamat to yahii.n aur va.ada to tire aane kaa hai sach hii va-lekin baazuu ke pha.Dakne se hu.aa dil ko yaqii.n aur aaKHir tuu kahaa.n kuucha tiraa aur kahaa.n ham kar leve.n yahaa.n baiTh ke ik aah-e-hazii.n aur thaa ruu-e-zamii.n ta.ng zi-bas ham ne nikaalii rahne ke liye sher ke aalam me.n zamii.n aur naam apnaa likhaave to likhaa dil pe tuu mere is naam ko behtar nahii.n is se to nagii.n aur abruu kii to thii chiin mire dil pe Gazab par mizhgaa.n se numuudaar hu.e KHanjar-e-kii.n aur nikle to usii kuucha se ye gum-shuda nikle Dhuu.nDhe hai 'hasan' dil ko to phir Dhuu.nD vahii.n aur