dilbar se hum apne jab milenge
dilbar se ham apne jab mileñge
is gum-shuda dil se tab mileñge
ye kis ko ḳhabar hai ab ke bichhḌe
kyā jāniye us se kab mileñge
jān-o-dil-o-hosh-o-sabr-o-tāqat
ik milne se us ke sab mileñge
duniyā hai sambhal ke dil lagānā
yaañ log ajab ajab mileñge
zāhir meñ to Dhab nahīñ hai koī
ham yaar se kis sabab mileñge
hogā kabhī vo bhī daur jo ham
dildār se roz-o-shab mileñge
ārām 'hasan' tabhī to hogā
us lab se jab apne lab mileñge
dilbar se hum apne jab milenge
is gum-shuda dil se tab milenge
ye kis ko KHabar hai ab ke bichhDe
kya jaaniye us se kab milenge
jaan-o-dil-o-hosh-o-sabr-o-taqat
ek milne se us ke sab milenge
duniya hai sambhal ke dil lagana
yan log ajab ajab milenge
zahir mein to Dhab nahin hai koi
hum yar se kis sabab milenge
hoga kabhi wo bhi daur jo hum
dildar se roz-o-shab milenge
aaram 'hasan' tabhi to hoga
us lab se jab apne lab milenge
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.