Sher on Aabla
Blister is a stock metaphor
of love poetry in Urdu. A lover is destined to suffer its pain yet remain unhindered in his long journey of love. Classical poets have used this metaphor quite frequently and represented these lovers as explorers and sufferers. Here are a few verses for your perusal.
abhī se paañv ke chhāle na dekho
abhī yaaro safar kī ibtidā hai
abhi se panw ke chhaale na dekho
abhi yaro safar ki ibtida hai
donoñ kā milnā mushkil hai donoñ haiñ majbūr bahut
us ke paañv meñ mehñdī lagī hai mere paañv meñ chhāle haiñ
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
-
Tags : Hijrand 1 more
jin ke hoñToñ pe hañsī paañv meñ chhāle hoñge
haañ vahī log tumheñ chāhne vaale hoñge
jin ke honTon pe hansi panw mein chhaale honge
han wahi log tumhein chahne wale honge
ābla-pā koī is dasht meñ aayā hogā
varna āñdhī meñ diyā kis ne jalāyā hogā
aabla-pa koi is dasht mein aaya hoga
warna aandhi mein diya kis ne jalaya hoga
-
Tag : Charagh
shikva-e-ābla abhī se 'mīr'
hai piyāre hanūz dillī duur
shikwa-e-abla abhi se 'mir'
hai piyare hanuz dilli dur
ḳhush haiñ to phir musāfir-e-duniyā nahīñ haiñ aap
is dasht meñ bas ābla-pā.ī hai roiye
KHush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-pai hai roiye
safar meñ har qadam rah rah ke ye taklīf hī dete
bahar-sūrat hameñ in ābloñ ko phoḌ denā thā
safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha
maiñ sar-ba-sajda sakūñ meñ nahīñ safar meñ huuñ
jabīñ pe daaġh nahīñ aabla banā huā hai
main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun
jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai
-
Tag : Ibaadat
ai mire paañv ke chhālo mire ham-rāh raho
imtihāñ saḳht hai tum chhoḌ ke jaate kyuuñ ho
ai mere panw ke chhaalo mere ham-rah raho
imtihan saKHt hai tum chhoD ke jate kyun ho
rāsta paanī māñgtā hai
apne paañv kā chhālā maar
rasta pani mangta hai
apne panw ka chhaala mar
kāñToñ kī zabāñ suukh ga.ī pyaas se yā rab
ik ābla-pā vādi-e-pur-ḳhār meñ aave
kanTon ki zaban sukh gai pyas se ya rab
ek aabla-pa wadi-e-pur-KHar mein aawe
mujhe yaqīñ to bahut thā magar ġhalat niklā
ki aabla kabhī pā-posh meñ nahīñ aatā
mujhe yaqin to bahut tha magar ghalat nikla
ki aabla kabhi pa-posh mein nahin aata
aao taqrīb-e-rū-numā.ī kareñ
paañv meñ ek aabla huā hai
aao taqrib-e-ru-numai karen
panw mein ek aabla hua hai
tez rakhiyo sar-e-har-ḳhār ko ai dasht-e-junūñ
shāyad aa jaa.e koī ābla-pā mere ba.ad
tez rakhiyo sar-e-har-KHar ko ai dasht-e-junun
shayad aa jae koi aabla-pa mere baad
dil ke har juzv meñ judā.ī hai
dard uThe aabla agar baiThe
dil ke har juzw mein judai hai
dard uThe aabla agar baiThe
ik aabla thā so bhī gayā ḳhār-e-ġham se phaT
terī girah meñ kyā dil-e-andoh-gīñ rahā
ek aabla tha so bhi gaya KHar-e-gham se phaT
teri girah mein kya dil-e-andoh-gin raha
be-takalluf maqām-e-ulfat hai
daaġh uTThe ki aabla baiThe
be-takalluf maqam-e-ulfat hai
dagh uTThe ki aabla baiThe
ḳhaar chubh kar jo TūTtā hai kabhī
aabla phuuT phuuT rotā hai
KHar chubh kar jo TuTta hai kabhi
aabla phuT phuT rota hai
hai jab tak dasht-paimā.ī salāmat
rahegī ābla-pā.ī salāmat
hai jab tak dasht-paimai salamat
rahegi aabla-pai salamat
jab is meñ ḳhuuñ rahā na to ye dil kā aabla
ho ḳhushk jaise dāna-e-añgūr rah gayā
jab is mein KHun raha na to ye dil ka aabla
ho KHushk jaise dana-e-angur rah gaya
ham aabla ban rahe haiñ ham ko
ik jumbish-e-neshtar bahut hai
hum aabla ban rahe hain hum ko
ek jumbish-e-neshtar bahut hai
lagā.ī kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par
subū-ba-dosh hai saaqī jo aabla dil kā
lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par
subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka
jo mujh ātish-nafas ne muñh lagāyā us ko ai saaqī
abhī hone lageñge aable mahsūs shīshe meñ
jo mujh aatish-nafas ne munh lagaya us ko ai saqi
abhi hone lagenge aable mahsus shishe mein
ḳhāk-e-sahrā-e-junūñ narm hai resham kī tarah
aabla hai na koī ābla-pā mere ba.ad
KHak-e-sahra-e-junun narm hai resham ki tarah
aabla hai na koi aabla-pa mere baad