Abbas Qamar
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 7
mere kamre meñ udāsī hai qayāmat kī magar
ek tasvīr purānī sī hañsā kartī hai
mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar
ek taswir purani si hansa karti hai
-
Share this
- See Ghazal
inheñ āñkhoñ ne bedardī se be-ghar kar diyā hai
ye aañsū qahqaha banñe kī koshish kar rahe the
inhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the
-
Share this
- See Ghazal
ham haiñ asīr-e-zabt ijāzat nahīñ hameñ
ro pā rahe haiñ aap badhā.ī hai roiye
hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein
ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
-
Share this
- See Ghazal
ashkoñ ko ārzū-e-rihā.ī hai roiye
āñkhoñ kī ab isī meñ bhalā.ī hai roiye
ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye
-
Share this
- See Ghazal
ḳhush haiñ to phir musāfir-e-duniyā nahīñ haiñ aap
is dasht meñ bas ābla-pā.ī hai roiye
KHush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-pai hai roiye
-
Share this
- See Ghazal