Qalaq Merathi
Ghazal 42
Sher-o-Shayari 51
tū hai harjā.ī to apnā bhī yahī taur sahī
tū nahīñ aur sahī aur nahīñ aur sahī
tu hai harjai to apna bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
- Add to favorites
-
Share this
tujh se ai zindagī ghabrā hī chale the ham to
par tashaffī hai ki ik dushman-e-jāñ rakhte haiñ
tujh se ai zindagi ghabra hi chale the hum to
par tashaffi hai ki ek dushman-e-jaan rakhte hain
- Add to favorites
-
Share this
ho mohabbat kī ḳhabar kuchh to ḳhabar phir kyuuñ ho
ye bhī ik be-ḳhabarī hai ki ḳhabar rakhte haiñ
ho mohabbat ki KHabar kuchh to KHabar phir kyun ho
ye bhi ek be-KHabari hai ki KHabar rakhte hain
- Add to favorites
-
Share this
zuleḳhā be-ḳhirad āvāra lailā bad-maza shīrīñ
sabhī majbūr haiñ dil se mohabbat aa hī jaatī hai
zuleKHa be-KHirad aawara laila bad-maza shirin
sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
muusā ke sar pe paañv hai ahl-e-nigāh kā
us kī galī meñ ḳhaak uḌī koh-e-tūr kī
musa ke sar pe panw hai ahl-e-nigah ka
us ki gali mein KHak uDi koh-e-tur ki
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal