Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki

Qalaq Merathi

duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki

Qalaq Merathi

duurī meñ kyuuñ ki ho na tamannā huzūr

manzil ko merī qurb se nisbat hai duur

furqat ne us vasl tashvīsh duur

taskīñ nahīñ hai yuuñ bhī dil-e-nā-subūr

muusā ke sar pe paañv hai ahl-e-nigāh

us galī meñ ḳhaak uḌī koh-e-tūr

kahtā hai anjuman ko tirī ḳhuld mudda.ī

is bul-havas ke dil meñ tamannā hai huur

vaa.iz ne mai-kade ko jo dekhā to jal gayā

phailā gayā charāñd sharāb-e-tahūr

muusā ko kyuuñ na mauj-e-tajallī dhakel de

jalve se us ke gul huī mash.al shu.ūr

arbāb-e-vaqt jānte haiñ rozgār ne

sahv se vafā to talāfī zarūr

rusvā.iyoñ hausla ghaT ghaT ke baḌh gayā

sāmāñ hai ḳhāmushī mirī shor-e-nushūr

mel āsmāñ sū-e-zamīñ be-sabab nahīñ

zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ġhurūr

us se na miliye jis se mile dil tamām umr

sūjhī hameñ bhī hijr meñ āḳhir ko duur

pāmāl kar rahā hai siyah-roziyoñ josh

miTTī ḳharāb hai mire kalabe meñ nuur

kyā ek qurb-e-ġhair sadma na pochhiye

haiñ dil ke aas paas balā duur duur

mazmūñ mire uḌaa.e 'qalaq' sab ne is qadar

suntā huuñ maiñ tarāna zabānī tuyūr

duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki

manzil ko meri qurb se nisbat hai dur ki

furqat ne us ki wasl ki tashwish dur ki

taskin nahin hai yun bhi dil-e-na-subur ki

musa ke sar pe panw hai ahl-e-nigah ka

us ki gali mein KHak uDi koh-e-tur ki

kahta hai anjuman ko teri KHuld muddai

is bul-hawas ke dil mein tamanna hai hur ki

waiz ne mai-kade ko jo dekha to jal gaya

phaila gaya charand sharab-e-tahur ki

musa ko kyun na mauj-e-tajalli dhakel de

jalwe se us ke gul hui mashal shuur ki

arbab-e-waqt jaante hain rozgar ne

ki sahw se wafa to talafi zarur ki

ruswaiyon ka hausla ghaT ghaT ke baDh gaya

saman hai KHamushi meri shor-e-nushur ki

mel aasman ka su-e-zamin be-sabab nahin

zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki

us se na miliye jis se mile dil tamam umr

sujhi hamein bhi hijr mein aaKHir ko dur ki

pamal kar raha hai siyah-roziyon ka josh

miTTi KHarab hai mere kalabe mein nur ki

kya ek qurb-e-ghair ka sadma na pochhiye

hain dil ke aas pas bala dur dur ki

mazmun mere uDae 'qalaq' sab ne is qadar

sunta hun main tarana zabani tuyur ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now