aadhā daanā aadhā pāgal na.iiñ na.iiñ na.iiñ
us ko paanā hai to puurā pāgal ban
aadha dana aadha pagal nain nain nain
us ko pana hai to pura pagal ban
-
Tag : Ishq
ik dhamā-chaukḌī hai siine meñ
ye kahīñ be-lagām dil to nahīñ
ek dhama-chaukDi hai sine mein
ye kahin be-lagam dil to nahin
-
Tags : Diland 1 more
lagtā hai shahroñ meñ junūñ ke mausam ab nahīñ aate
ham to sahrā meñ baiThe haiñ dhuup kā farsh bichhā.e
lagta hai shahron mein junun ke mausam ab nahin aate
hum to sahra mein baiThe hain dhup ka farsh bichhae
-
Tag : Sahra
sūliyāñ nasb rahīñ qaht-e-junūñ hai bhī to kyā
kuchh na kuchh ab bhī nikal ā.eñge gardan vaale
suliyan nasb rahin qaht-e-junun hai bhi to kya
kuchh na kuchh ab bhi nikal aaenge gardan wale
-
Tag : Daar
ahl-e-junūñ kī aahaT sun kar dasht-e-vafā bechain huā
har har goshe se pichhlī zanjīroñ kī jhankār uThī
ahl-e-junun ki aahaT sun kar dasht-e-wafa bechain hua
har har goshe se pichhli zanjiron ki jhankar uThi
gayā na koī mire baa'd kū-e-qātil tak
taras gayā kaf-e-qātil rag-e-gulū ke liye
gaya na koi mere ba'd ku-e-qatil tak
taras gaya kaf-e-qatil rag-e-gulu ke liye
-
Tag : Qatil