Abdul Hamid Adam
Ghazal 84
Sher-o-Shayari 108
sirf ik qadam uThā thā ġhalat rāh-e-shauq meñ
manzil tamām umr mujhe DhūñDhtī rahī
sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq mein
manzil tamam umr mujhe DhunDhti rahi
- Add to favorites
-
Share this
dil abhī puurī tarah TuuTā nahīñ
dostoñ kī mehrbānī chāhiye
my heartbreak's not complete, it pends
I need some favours from my friends
dil abhi puri tarah TuTa nahin
doston ki mehrbani chahiye
my heartbreak's not complete, it pends
I need some favours from my friends
- Add to favorites
-
Share this
- Translation
dil ḳhush huā hai masjid-e-vīrāñ ko dekh kar
merī tarah ḳhudā kā bhī ḳhāna ḳharāb hai
seeing the mosque deserted was to me a source of glee
his house too was desolate, just the same as me
dil KHush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar
meri tarah KHuda ka bhi KHana KHarab hai
seeing the mosque deserted was to me a source of glee
his house too was desolate, just the same as me
- Add to favorites
-
Share this
- Translation
bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
bārish ke sab hurūf ko ulTā ke pī gayā
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
barish ke sab huruf ko ulTa ke pi gaya
- Add to favorites
-
Share this
kahte haiñ umr-e-rafta kabhī lauTtī nahīñ
jā mai-kade se merī javānī uThā ke lā
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
ja mai-kade se meri jawani uTha ke la
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
- Add to favorites
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
Qita 55
BOOKS 36
Image Shayari 10
maayuus ho ga.ii hai du.aa bhii jabiin bhii uThne lagaa hai dil se KHudaa kaa yaqiin bhii taskii.n kii ek saa.ns hame.n baKHsh diijiye ye aasmaa.n bhii aap kaa aur ye zamiin bhii
ai dost mohabbat ke sadme tanhaa hii uThaane pa.Dte hai.n rahbar to faqat is raste me.n do gaam sahaaraa dete hai.n
Videos 26
