Ashu Mishra
Ghazal 29
Nazm 6
Sher-o-Shayari 3
qubūl kar ke ise rābta bahāl karo
kahīñ ye phuul mirī āḳhirī pukār na ho
qubul kar ke ise rabta bahaal karo
kahin ye phul meri aaKHiri pukar na ho
- Add to favorites
-
Share this
yahāñ pe āh-o-fuġhāñ dard-o-ġham kā naam nahīñ
mirā kalām hai ye 'mīr' kā kalām nahīñ
yahan pe aah-o-fughan dard-o-gham ka nam nahin
mera kalam hai ye 'mir' ka kalam nahin
- Add to favorites
-
Share this
sarsarī 'mīr' kā dīvān nahīñ khultā hai
muḳhtasar khulne meñ insān nahīñ khultā hai
sarsari 'mir' ka diwan nahin khulta hai
muKHtasar khulne mein insan nahin khulta hai
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
ko.ii aa kar nahii.n jaataa dilo.n ke aashiyaano.n se rihaa.ii kaa ko.ii rasta nahii.n in qaid-KHaano.n se machhere kashtiyo.n me.n baiTh kar ke gaa rahe hai.n giit havaa.e.n muskuraa kar mil rahii hai.n baadbaano.n se zamii.n vaalo.n ne jab se aasmaa.n kii or dekhaa hai parinde KHauf khaane lag ga.e uu.nchii u.Daano.n se ye suukhe zaKHm hai.n yaa rang hai.n tasviir maazii ke mujhe guzre zamaane yaad aa.e in nishaano.n se hame.n apnii la.Daa.ii is zamii.n par KHud hii la.Dnii hai farishte to nahii.n aane yahaa.n par aasmaano.n se tumhaaraa dil yahaa.n par kho gayaa to kaisii hairat hai barelii me.n to jhumke tak nikal jaate hai.n kaano.n se