Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

Aitbar Sajid

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil hālat hai

    bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai

    shaam kareñ kaise is din ThanDī sūrat dekheñ kin

    idhar udhar to dhuāñ uḌātī aag ugaltī ḳhilqat hai

    jis ko ham ne chāhā thā vo kahīñ nahīñ is manzar meñ

    jis ne ham ko pyaar kiyā vo sāmne vaalī mūrat hai

    phuul babūl ke achchhe haiñ lekin sākit tasvīroñ meñ

    sach much ke sehrāoñ to is dil jaisī sūrat hai

    tere baad dukānoñ par maiñ kar pūchhtā rahtā huuñ

    kyā vo ḳhushbū mil saktī hai ab us kyā qīmat hai

    baḌe baḌe sapne nahīñ bo.e maiñ ne apne āñgan meñ

    nannhī munnī ḳhushiyāñ haiñ mirī chhoTī ik jannat hai

    phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

    bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

    sham karen kaise is din ki ThanDi surat dekhen kin ki

    idhar udhar to dhuan uDati aag ugalti KHilqat hai

    jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein

    jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai

    phul babul ke achchhe hain lekin sakit taswiron mein

    sach much ke sehraon ki to is dil jaisi surat hai

    tere baad dukanon par main ja kar puchhta rahta hun

    kya wo KHushbu mil sakti hai ab us ki kya qimat hai

    baDe baDe sapne nahin boe main ne apne aangan mein

    nannhi munni KHushiyan hain meri chhoTi si ek jannat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now