aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-ummid ki ek sham jalai gai thi

Qamar Abbas Qamar

subh-e-ummid ki ek sham jalai gai thi

Qamar Abbas Qamar

MORE BYQamar Abbas Qamar

    sub.h-e-ummīd ik sham' jalā.ī ga.ī thī

    is tarah mamlikat-e-jism bachā.ī ga.ī thī

    kitnā be-faiz zamāna thā ki ḳhvāhish merī

    gosha-e-dil meñ taḌaptī huī paa.ī ga.ī thī

    muddatoñ tujh pe luTātā rahā maiñ daulat-e-dil

    jo kisī aur ke hisse kamā.ī ga.ī thī

    dekhne vāloñ āñkhoñ meñ utar aatī thī

    ek tasvīr jo kāġhaz pe banā.ī ga.ī thī

    mere māthe pe ubhar aate the vahshat ke nuqūsh

    merī miTTī kisī sahrā se uThā.ī ga.ī thī

    mujh se mat pūchh shab-e-shahar-e-junūñ qissa

    ḳhvāb aate nahīñ the niiñd uḌaa.ī ga.ī thī

    chashm-e-hairat ne vo duniyā bhī to dekhī hai jahāñ

    pyaas dariyāoñ sahrā se bujhā.ī ga.ī thī

    subh-e-ummid ki ek sham' jalai gai thi

    is tarah mamlikat-e-jism bachai gai thi

    kitna be-faiz zamana tha ki KHwahish meri

    gosha-e-dil mein taDapti hui pai gai thi

    muddaton tujh pe luTata raha main daulat-e-dil

    jo kisi aur ke hisse ki kamai gai thi

    dekhne walon ki aankhon mein utar aati thi

    ek taswir jo kaghaz pe banai gai thi

    mere mathe pe ubhar aate the wahshat ke nuqush

    meri miTTi kisi sahra se uThai gai thi

    mujh se mat puchh shab-e-shahar-e-junun ka qissa

    KHwab aate nahin the nind uDai gai thi

    chashm-e-hairat ne wo duniya bhi to dekhi hai jahan

    pyas dariyaon ki sahra se bujhai gai thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now