Khatir Ghaznavi
Ghazal 21
Nazm 7
Sher-o-Shayari 16
ik tajassus dil meñ hai ye kyā huā kaise huā
jo kabhī apnā na thā vo ġhair kā kaise huā
ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua
jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua
-
Share this
- See Ghazal
logoñ ne to sūraj kī chakā-chauñd ko puujā
maiñ ne to tire saa.e ko bhī sajda kiyā hai
logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja
main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai
-
Share this
- See Ghazal
qatre kī jur.atoñ ne sadaf se liyā ḳhirāj
dariyā samundaroñ meñ mile aur mar ga.e
qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj
dariya samundaron mein mile aur mar gae
-
Share this
- See Ghazal
tū nahīñ paas tirī yaad to hai
tū hī to sūjhe jahāñ tak sochūñ
tu nahin pas teri yaad to hai
tu hi to sujhe jahan tak sochun
-
Share this
- See Ghazal
ye kaun chupke chupke uThā aur chal diyā
'ḳhātir' ye kis ne luuT liiñ mahfil kī dhaḌkaneñ
ye kaun chupke chupke uTha aur chal diya
'KHatir' ye kis ne luT lin mahfil ki dhaDkanen
-
Share this
- See Ghazal
Paheli 3
BOOKS 11
Image Shayari 4
jab us zulf kii baat chalii Dhalte Dhalte raat Dhalii un aa.nkho.n ne luuT ke bhii apne uupar baat na lii sham.a kaa anjaam na puuchh parvaano.n ke saath jalii ab ke bhii vo duur rahe ab ke bhii barsaat chalii 'KHaatir' ye hai baazi-e-dil is me.n jiit se maat bhalii