Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua

Khatir Ghaznavi

ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua

Khatir Ghaznavi

ik tajassus dil meñ hai ye kyā huā kaise huā

jo kabhī apnā na thā vo ġhair kaise huā

maiñ ki jis maiñ ne to dekhā na thā sochā na thā

sochtā huuñ vo sanam merā ḳhudā kaise huā

hai gumāñ dīvār-e-zindāñ fasīl-e-shahr par

vo jo ik shola thā har dil meñ fanā kaise huā

rañg-e-ḳhūñ roz-e-azal se hai nishān-e-inqilāb

ziist unvāñ magar rañg-e-hinā kaise huā

ġhaznavī to but-shikan Thahrā magar 'ḳhātir' ye kyā

tere maslak meñ use sajda ravā kaise huā

ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua

jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua

main ki jis ki main ne to dekha na tha socha na tha

sochta hun wo sanam mera KHuda kaise hua

hai guman diwar-e-zindan ka fasil-e-shahr par

wo jo ek shola tha har dil mein fana kaise hua

rang-e-KHun roz-e-azal se hai nishan-e-inqilab

zist ka unwan magar rang-e-hina kaise hua

ghaznawi to but-shikan Thahra magar 'KHatir' ye kya

tere maslak mein use sajda rawa kaise hua

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now