Sher on Dhoop
Soft sun can be pleasant
and thrilling but the scorching sun can be troublesome, making it impossible to bear. Also, sun punctuates shade and brings a facet of nature that is rich with seasonal variety. You may like to experience that burn in these verses.
dopahar kī dhuup meñ mere bulāne ke liye
vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai
phir yaad bahut aa.egī zulfoñ kī ghanī shaam
jab dhuup meñ saaya koī sar par na milegā
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
jaatī hai dhuup ujle paroñ ko sameT ke
zaḳhmoñ ko ab ginūñgā maiñ bistar pe leT ke
jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
zaKHmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke
-
Tags : Ishqand 2 more
ye dhuup to har ruḳh se pareshān karegī
kyuuñ DhūñD rahe ho kisī dīvār kā saaya
ye dhup to har ruKH se pareshan karegi
kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya
-
Tags : Garmiand 1 more
maiñ bahut ḳhush thā kaḌī dhuup ke sannāTe meñ
kyuuñ tirī yaad kā bādal mire sar par aayā
main bahut KHush tha kaDi dhup ke sannaTe mein
kyun teri yaad ka baadal mere sar par aaya
koī tasvīr mukammal nahīñ hone paatī
dhuup dete haiñ to saayā nahīñ rahne dete
koi taswir mukammal nahin hone pati
dhup dete hain to saya nahin rahne dete
-
Tags : Sayaand 1 more
vo sardiyoñ kī dhuup kī tarah ġhurūb ho gayā
lipaT rahī hai yaad jism se lihāf kī tarah
wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya
lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah
-
Tags : Sardiand 1 more
kab dhuup chalī shaam Dhalī kis ko ḳhabar hai
ik umr se maiñ apne hī saa.e meñ khaḌā huuñ
kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai
ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun
-
Tags : Sayaand 1 more
ham faqīroñ kā pairahan hai dhuup
aur ye raat apnī chādar hai
hum faqiron ka pairahan hai dhup
aur ye raat apni chadar hai
-
Tag : Raat
us ko bhī merī tarah apnī vafā par thā yaqīñ
vo bhī shāyad isī dhoke meñ milā thā mujh ko
us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin
wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko
ye intiqām hai yā ehtijāj hai kyā hai
ye log dhuup meñ kyuuñ haiñ shajar ke hote hue
ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai
ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue
-
Tags : Intiqamand 1 more
tire aane kā din hai tere raste meñ bichhāne ko
chamaktī dhuup meñ saa.e ikaTThe kar rahā huuñ maiñ
tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko
chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main
naqāb-e-ruḳh uThāyā jā rahā hai
vo niklī dhuup saayā jā rahā hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
wo nikli dhup saya ja raha hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
'alvī' ye mo.ajiza hai december kī dhuup kā
saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ
'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka
sare makan shahr ke dhoe hue se hain
jahāñ Daale the us ne dhuup meñ kapḌe sukhāne ko
Tapaktī haiñ abhī tak rassiyāñ āhista āhista
jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko
Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista
zarā ye dhuup Dhal jaa.e to un kā haal pūchheñge
yahāñ kuchh saa.e apne aap ko paikar batāte haiñ
zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain
mire saa.e meñ us kā naqsh-e-pā hai
baḌā ehsān mujh par dhuup kā hai
mere sae mein us ka naqsh-e-pa hai
baDa ehsan mujh par dhup ka hai
niiñd TuuTī hai to ehsās-e-ziyāñ bhī jaagā
dhuup dīvār se āñgan meñ utar aa.ī hai
nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga
dhup diwar se aangan mein utar aai hai
kaun jaane ki uḌtī huī dhuup bhī
kis taraf kaun sī manziloñ meñ ga.ī
kaun jaane ki uDti hui dhup bhi
kis taraf kaun si manzilon mein gai
saarā din tapte sūraj kī garmī meñ jalte rahe
ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho
sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe
ThanDi ThanDi hawa phir chali so raho so raho
kuchh ab ke dhuup kā aisā mizāj bigḌā hai
daraḳht bhī to yahāñ sā.ebān māñgte haiñ
kuchh ab ke dhup ka aisa mizaj bigDa hai
daraKHt bhi to yahan saeban mangte hain
dīvār un ke ghar kī mirī dhuup le ga.ī
ye baat bhūlne meñ zamāna lagā mujhe
diwar un ke ghar ki meri dhup le gai
ye baat bhulne mein zamana laga mujhe
is dasht-e-suḳhan meñ koī kyā phuul khilā.e
chamkī jo zarā dhuup to jalne lage saa.e
is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
chamki jo zara dhup to jalne lage sae
kis ne sahrā meñ mire vāste rakkhī hai ye chhāñv
dhuup roke hai mirā chāhne vaalā kaisā
kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw
dhup roke hai mera chahne wala kaisa
dhuup bolī ki maiñ ābā.ī vatan huuñ terā
maiñ ne phir sāya-e-dīvār ko zahmat nahīñ dī
dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di
ab shahr-e-ārzū meñ vo ra.anā.iyāñ kahāñ
haiñ gul-kade niDhāl baḌī tez dhuup hai
ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhup hai
-
Tags : Aarzooand 1 more
bastī bastī parbat parbat vahshat kī hai dhuup 'ziyā'
chāroñ jānib vīrānī hai dil kā ik vīrāna kyā
basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'
chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya
-
Tags : Viraniand 1 more
dhuup baḌhte hī judā ho jā.egā
sāya-e-dīvār bhī dīvār se
dhup baDhte hi juda ho jaega
saya-e-diwar bhi diwar se
kamre meñ aa ke baiTh ga.ī dhuup mez par
bachchoñ ne khilkhilā ke mujhe bhī jagā diyā
kamre mein aa ke baiTh gai dhup mez par
bachchon ne khilkhila ke mujhe bhi jaga diya
shāḳh par shab kī lage is chāñd meñ hai dhuup jo
vo mirī ā.ankhoñ kī hai so vo samar merā bhī hai
shaKH par shab ki lage is chand mein hai dhup jo
wo meri aaankhon ki hai so wo samar mera bhi hai
vo aur hoñge jo kār-e-havas pe zinda haiñ
maiñ us kī dhuup se saaya badal ke aayā huuñ
wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain
main us ki dhup se saya badal ke aaya hun
maiñ bārishoñ meñ bahut bhīgtā rahā 'ābid'
sulagtī dhuup meñ ik chhat bahut zarūrī hai
main barishon mein bahut bhigta raha 'abid'
sulagti dhup mein ek chhat bahut zaruri hai
dasht-e-vafā meñ jal ke na rah jaa.eñ apne dil
vo dhuup hai ki rañg haiñ kaale paḌe hue
dasht-e-wafa mein jal ke na rah jaen apne dil
wo dhup hai ki rang hain kale paDe hue
-
Tags : Diland 2 more
tārīkiyoñ ne ḳhud ko milāyā hai dhuup meñ
saaya jo shaam kā nazar aaya hai dhuup meñ
tarikiyon ne KHud ko milaya hai dhup mein
saya jo sham ka nazar aaya hai dhup mein
-
Tags : Sayaand 1 more
zāviya dhuup ne kuchh aisā banāyā hai ki ham
saa.e ko jism kī jumbish se judā dekhte haiñ
zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum
sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain
paanī ne jise dhuup kī miTTī se banāyā
vo dā.era-e-rabt bigaḌne ke liye thā
pani ne jise dhup ki miTTi se banaya
wo daera-e-rabt bigaDne ke liye tha
vo tapish hai ki jal uThe saa.e
dhuup rakkhī thī sā.ebān meñ kyā
wo tapish hai ki jal uThe sae
dhup rakkhi thi saeban mein kya
us zāviye se dekhiye ā.īna-e-hayāt
jis zāviye se maiñ ne lagāyā hai dhuup meñ
us zawiye se dekhiye aaina-e-hayat
jis zawiye se main ne lagaya hai dhup mein
hamāre muñh pe us ne aa.ine se dhuup tak pheñkī
abhī tak ham samajh kar us ko bachcha chhoḌ dete haiñ
hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki
abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain
ham tire saa.e meñ kuchh der Thaharte kaise
ham ko jab dhuup se vahshat nahīñ karnī aa.ī
hum tere sae mein kuchh der Thaharte kaise
hum ko jab dhup se wahshat nahin karni aai
-
Tags : Sayaand 1 more
dhuup mujh ko jo liye phirtī hai saa.e saa.e
hai to āvāra magar zehn meñ ghar rakhtī hai
dhup mujh ko jo liye phirti hai sae sae
hai to aawara magar zehn mein ghar rakhti hai