Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Resistance

ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf

gar jañg lāzmī hai to phir jañg sahī

hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf

gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi

Sahir Ludhianvi

zulm phir zulm hai baḌhtā hai to miT jaatā hai

ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkegā to jam jā.egā

zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai

KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega

Sahir Ludhianvi

shahr ke añdhere ko ik charāġh kaafī hai

sau charāġh jalte haiñ ik charāġh jalne se

shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai

sau charagh jalte hain ek charagh jalne se

Ehtisham Akhtar

havā-e-zulm sochtī hai kis bhañvar meñ aa ga.ī

vo ik diyā bujhā to saiñkaḌoñ diye jalā gayā

hawa-e-zulm sochti hai kis bhanwar mein aa gai

wo ek diya bujha to sainkaDon diye jala gaya

Ahmad Faraz

ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak

kuchh hashr to un se uTThegā kuchh duur to naale jā.eñge

ai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab tak

kuchh hashr to un se uTThega kuchh dur to nale jaenge

Faiz Ahmad Faiz

hazāroñ zulm hoñ mazlūm par to chup rahe duniyā

agar mazlūm kuchh bole to dahshat-gard kahtī hai

hazaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniya

agar mazlum kuchh bole to dahshat-gard kahti hai

Zameer Atraulvi

ye intiqām hai ehtijāj hai kyā hai

ye log dhuup meñ kyuuñ haiñ shajar ke hote hue

ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai

ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue

Haseeb Soz

ye baat sach hai tumheñ zulm meñ mahārat hai

ye baat bhī to haqīqat hai maiñ nahīñ Dartā

ye baat sach hai tumhein zulm mein mahaarat hai

ye baat bhi to haqiqat hai main nahin Darta

Shamsher Khan

ye ehtijāj ajab hai ḳhilāf-e-teġh-e-sitam

zamīñ meñ jazb nahīñ ho rahā hai ḳhuuñ merā

ye ehtijaj ajab hai KHilaf-e-tegh-e-sitam

zamin mein jazb nahin ho raha hai KHun mera

Qamar Abbas Qamar
Speak Now