Sher on Peace
One of the most essential
features of poetry is its ability to silently urge people to become better human beings. It helps us to shrug off pessimistic feelings which often develop during the course of our lives. In keeping with the theme of 'peace', we bring to you poetry which can eliminate any feelings of hate, despair and negativity within us. It aims to encourage people to become good citizens and also acts as a guide book for all who strive to make this world a better place. Do read it and spread the message of love and peace further.
dushmanī jam kar karo lekin ye gunjā.ish rahe
jab kabhī ham dost ho jaa.eñ to sharminda na hoñ
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
-
Tags : Dostand 4 more
agar tumhārī anā hī kā hai savāl to phir
chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye
agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf
gar jañg lāzmī hai to phir jañg hī sahī
hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
-
Tags : Deshbhaktiand 3 more
saat sandūqoñ meñ bhar kar dafn kar do nafrateñ
aaj insāñ ko mohabbat kī zarūrat hai bahut
sat sanduqon mein bhar kar dafn kar do nafraten
aaj insan ko mohabbat ki zarurat hai bahut
jañg to ḳhud hī ek mas.ala hai
jañg kyā mas.aloñ kā hal degī
jang to KHud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
-
Tag : Unity
'hafīz' apnī bolī mohabbat kī bolī
na urdu na hindī na hindostānī
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
sab se pur-amn vāqi.a ye hai
aadmī aadmī ko bhuul gayā
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
-
Tags : Aadmiand 1 more
sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā
ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā
sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya
ujala har taraf hai is kinare us kinare kya
-
Tags : Communal harmonyand 1 more
ik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jaa.e
jis kā ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
-
Tags : Aanganand 2 more
mujh meñ thoḌī sī jagah bhī nahīñ nafrat ke liye
maiñ to har vaqt mohabbat se bharā rahtā huuñ
mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye
main to har waqt mohabbat se bhara rahta hun
ajiib dard kā rishta hai saarī duniyā meñ
kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
-
Tag : Unity
ye duniyā nafratoñ ke āḳhrī stage pe hai
ilaaj is kā mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
ye duniya nafraton ke aaKHri stage pe hai
ilaj is ka mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin hai
parvāz meñ thā amn kā ma.asūm parinda
sunte haiñ ki be-chāra shajar tak nahīñ pahuñchā
parwaz mein tha amn ka masum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha
ek taḳhtī amn ke paiġhām kī
Taañg diije ūñche mīnāroñ ke beach
ek taKHti amn ke paigham ki
Tang dije unche minaron ke beach
amn thā pyaar thā mohabbat thā
rañg thā nuur thā navā thā firāq
amn tha pyar tha mohabbat tha
rang tha nur tha nawa tha firaq
-
Tags : Hijrand 1 more
jañg kā shor bhī kuchh der to tham saktā hai
phir se ik amn kī afvāh uḌā dī jaa.e
jang ka shor bhi kuchh der to tham sakta hai
phir se ek amn ki afwah uDa di jae
rahe tazkire amn ke āshtī ke
magar bastiyoñ par baraste rahe bam
rahe tazkire amn ke aashti ke
magar bastiyon par baraste rahe bam
sunā hai amn-parastoñ kā vo ilāqa hai
vahīñ shikār kabūtar huā to kaise huā
suna hai amn-paraston ka wo ilaqa hai
wahin shikar kabutar hua to kaise hua
fazā ye amn-o-amāñ kī sadā rakheñ qaa.em
suno ye farz tumhārā bhī hai hamārā bhī
faza ye amn-o-aman ki sada rakhen qaem
suno ye farz tumhaara bhi hai hamara bhi
amn har shaḳhs kī zarūrat hai
is liye amn se mohabbat hai
amn har shaKHs ki zarurat hai
is liye amn se mohabbat hai
kitnā pur-amn hai māhaul fasādāt ke ba.ad
shaam ke vaqt nikaltā nahīñ bāhar koī
kitna pur-amn hai mahaul fasadat ke baad
sham ke waqt nikalta nahin bahar koi
amn kā qatl ho gayā jab se
shahr ab bad-havās rahtā hai
amn ka qatl ho gaya jab se
shahr ab bad-hawas rahta hai
shahr meñ amn-o-amāñ ho ye zarūrī hai magar
hākim-e-vaqt ke māthe pe likhā hī kuchh hai
shahr mein amn-o-aman ho ye zaruri hai magar
hakim-e-waqt ke mathe pe likha hi kuchh hai
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
la.anteñ bhejiye fasādoñ par
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
lanten bhejiye fasadon par
ḳhudā-e-amn jo kahtā hai ḳhud ko
zamīñ par ḳhud hī maqtal likh rahā hai
KHuda-e-amn jo kahta hai KHud ko
zamin par KHud hi maqtal likh raha hai
amn 'kaifī' ho nahīñ saktā kabhī
jab talak zulm-o-sitam maujūd hai
amn 'kaifi' ho nahin sakta kabhi
jab talak zulm-o-sitam maujud hai
amn aur āshtī se us ko kyā
us kā maqsad to intishār meñ hai
amn aur aashti se us ko kya
us ka maqsad to intishaar mein hai
amn ke saare sapne jhūTe
sapnoñ kī ta.abīreñ jhūTī
amn ke sare sapne jhuTe
sapnon ki tabiren jhuTi
haañ dil-e-be-tāb chande intizār
amn-o-rāhat kā Thikāna aur hai
han dil-e-be-tab chande intizar
amn-o-rahat ka Thikana aur hai
amn-e-ālam kī ḳhātir
jañg yugoñ se jaarī hai
amn-e-alam ki KHatir
jang yugon se jari hai
apne desh meñ ghar ghar amn hai ki jhagḌe haiñ
dekho roz-nāmoñ kī surḳhiyāñ batā.eñgī
apne desh mein ghar ghar amn hai ki jhagDe hain
dekho roz-namon ki surKHiyan bataengi
ba-nām-e-amn-o-amāñ kaun maarā jā.egā
na jaane aaj yahāñ kaun maarā jā.egā
ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega
na jaane aaj yahan kaun mara jaega
chalo amn-o-amāñ hai mai-kade meñ
vahīñ kuchh pal Thahar kar dekhte haiñ
chalo amn-o-aman hai mai-kade mein
wahin kuchh pal Thahar kar dekhte hain
ma.asūm hai ma.asūm bahut amn kī devī
qabze meñ liye ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār abhī tak
masum hai masum bahut amn ki dewi
qabze mein liye KHanjar-e-KHun-KHar abhi tak
bādaloñ ne aaj barsāyā lahū
amn kā har fāḳhta rone lagā
baadalon ne aaj barsaya lahu
amn ka har faKHta rone laga
dhuup ke saa.e meñ chup sādhe hue
kar rahe ho amn kā elaan kyā
dhup ke sae mein chup sadhe hue
kar rahe ho amn ka elan kya
amn aur tere ahd meñ zālim
kis tarah ḳhāk-e-rahguzar baiThe
amn aur tere ahd mein zalim
kis tarah KHak-e-rahguzar baiThe
amn parchār talak Thiik sahī lekin amn
tum ko lagtā hai ki hogā nahīñ hone vaalā
amn parchaar talak Thik sahi lekin amn
tum ko lagta hai ki hoga nahin hone wala