Faragh Rohvi
Ghazal 18
Nazm 34
Sher-o-Shayari 18
ham se tahzīb kā dāman nahīñ chhoḌā jaatā
dasht-e-vahshat meñ bhī ādāb liye phirte haiñ
hum se tahzib ka daman nahin chhoDa jata
dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mujh meñ hai yahī aib ki auroñ kī tarah maiñ
chehre pe kabhī dūsrā chehrā nahīñ rakhtā
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ḳhuub nibhegī ham donoñ meñ mere jaisā tū bhī hai
thoḌā jhūTā maiñ bhī Thahrā thoḌā jhūTā tū bhī hai
KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai
thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
kisī ne raah kā patthar hamīñ ko Thahrāyā
ye aur baat ki phir ā.īna hamīñ Thahre
kisi ne rah ka patthar hamin ko Thahraya
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ik din vo mere aib gināne lagā 'farāġh'
jab ḳhud hī thak gayā to mujhe sochnā paḌā
ek din wo mere aib ginane laga 'faragh'
jab KHud hi thak gaya to mujhe sochna paDa
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Doha 3
kaise apne pyaar ke sapne hoñ sākār
tere mere biich hai maz.hab kī dīvār
kaise apne pyar ke sapne hon sakar
tere mere bich hai mazhab ki diwar
- Add to favorites
-
Share this
nafrat ke sansār meñ kheleñ ab ye khel
ik ik insāñ joḌ ke ban jaa.eñ ham rail
nafrat ke sansar mein khelen ab ye khel
ek ek insan joD ke ban jaen hum rail
- Add to favorites
-
Share this
bhuul ga.e har vāqi.a bas itnā hai yaad
māl-o-zar par thī khaḌī rishtoñ kī buniyād
bhul gae har waqia bas itna hai yaad
mal-o-zar par thi khaDi rishton ki buniyaad
- Add to favorites
-
Share this
BOOKS 25
Image Shayari 1
Videos 6
