ye ik shajar ki jis pe na kāñTā na phuul hai
saa.e meñ us ke baiTh ke ronā fuzūl hai
ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai
sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai
bichhaḌ ke tujh se na dekhā gayā kisī kā milāp
uḌā diye haiñ parinde shajar pe baiThe hue
bichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap
uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue
vahī charāġh bujhā jis kī lau qayāmat thī
usī pe zarb paḌī jo shajar purānā thā
wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi
usi pe zarb paDi jo shajar purana tha
kal raat jo īñdhan ke liye kaT ke girā hai
chiḌiyoñ ko bahut pyaar thā us būḌhe shajar se
kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai
chiDiyon ko bahut pyar tha us buDhe shajar se
shajar ne pūchhā ki tujh meñ ye kis kī ḳhushbū hai
havā-e-shām-e-alam ne kahā udāsī kī
shajar ne puchha ki tujh mein ye kis ki KHushbu hai
hawa-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki
-
Tags : Alamand 1 more
ik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jaa.e
jis kā ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
-
Tags : Aanganand 2 more
ġhamoñ se bair thā so ham ne ḳhud-kushī kar lī
shajar girā ke parindoñ se intiqām liyā
ghamon se bair tha so hum ne KHud-kushi kar li
shajar gira ke parindon se intiqam liya
-
Tags : Ghamand 1 more
har shaḳhs par kiyā na karo itnā e'timād
har sāya-dār shai ko shajar mat kahā karo
har shaKHs par kiya na karo itna e'timad
har saya-dar shai ko shajar mat kaha karo
ajiib dard kā rishta thā sab ke sab ro.e
shajar girā to parinde tamām shab ro.e
ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe
shajar gira to parinde tamam shab roe
-
Tag : Parinda
thakan bahut thī magar sāya-e-shajar meñ 'jamāl'
maiñ baiThtā to mirā ham-safar chalā jaatā
thakan bahut thi magar saya-e-shajar mein 'jamal'
main baiThta to mera ham-safar chala jata
maiñ ik shajar kī tarah rah-guzar meñ Thahrā huuñ
thakan utaar ke tū kis taraf ravāna huā
main ek shajar ki tarah rah-guzar mein Thahra hun
thakan utar ke tu kis taraf rawana hua
uḌ ga.e saare parinde mausamoñ kī chaah meñ
intizār un kā magar būḌhe shajar karte rahe
uD gae sare parinde mausamon ki chah mein
intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe
chale jo dhuup meñ manzil thī un kī
hameñ to khā gayā saaya shajar kā
chale jo dhup mein manzil thi un ki
hamein to kha gaya saya shajar ka
safar ho shaah kā yā qāfila faqīroñ kā
shajar mizāj samajhte haiñ rāhgīroñ kā
safar ho shah ka ya qafila faqiron ka
shajar mizaj samajhte hain rahgiron ka
bhale hī chhāñv na de aasrā to detā hai
ye aarzū kā shajar hai ḳhizāñ-rasīda sahī
bhale hi chhanw na de aasra to deta hai
ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi
-
Tag : Aasraa
tum lagāte chalo ashjār jidhar se guzro
us ke saa.e meñ jo baiThegā duā hī degā
tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro
us ke sae mein jo baiThega dua hi dega
parinde laḌ hī paḌe jā.edād par āḳhir
shajar pe likkhā huā hai shajar barā.e-faroḳht
parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt
lagāyā mohabbat kā jab yaañ shajar
shajar lag gayā aur samar jal gayā
lagaya mohabbat ka jab yan shajar
shajar lag gaya aur samar jal gaya
us shajar ke saa.e meñ baiThā huuñ maiñ
jis kī shāḳhoñ par koī pattā nahīñ
us shajar ke sae mein baiTha hun main
jis ki shaKHon par koi patta nahin
makāñ banāte hue chhat bahut zarūrī hai
bachā ke sehn meñ lekin shajar bhī rakhnā hai
makan banate hue chhat bahut zaruri hai
bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai
aa mujhe chhū ke harā rañg bichhā de mujh par
maiñ bhī ik shāḳh sī rakhtā huuñ shajar karne ko
aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par
main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko
jal kar girā huuñ sūkhe shajar se uḌā nahīñ
maiñ ne vahī kiyā jo taqāzā vafā kā thā
jal kar gira hun sukhe shajar se uDa nahin
main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha
-
Tag : Wada
'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ kā
sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī sī Daalī thī
'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka
sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi
-
Tag : Bahaar
barsoñ se is meñ phal nahīñ aa.e to kyā huā
saaya to ab bhī sahn ke kohna shajar meñ hai
barson se is mein phal nahin aae to kya hua
saya to ab bhi sahn ke kohna shajar mein hai
purāne ahd ke qisse sunātā rahtā hai
bachā huā hai jo būḌhā shajar hamārī taraf
purane ahd ke qisse sunata rahta hai
bacha hua hai jo buDha shajar hamari taraf
mere ashjār azādār hue jaate haiñ
gaañv ke gaañv jo bāzār hue jaate haiñ
mere ashjar azadar hue jate hain
ganw ke ganw jo bazar hue jate hain
-
Tag : Azaadaar