Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Unity

Unity is a big human

strength. We celebrate its presence and deplore its absence in our day-to-day lives. This forms the basis of a good social order and ensures peace and harmony in society. We come across many conditions in our individual and social lives that determine our identity in relation to unity. Many facets of unity are presented in the shers selected for you under this category. You may have a glimpse of these here.

ḳhanjar chale kisī pe taḌapte haiñ ham 'amīr'

saare jahāñ dard hamāre jigar meñ hai

KHanjar chale kisi pe taDapte hain hum 'amir'

sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

Ameer Minai

saat sandūqoñ meñ bhar kar dafn kar do nafrateñ

aaj insāñ ko mohabbat zarūrat hai bahut

sat sanduqon mein bhar kar dafn kar do nafraten

aaj insan ko mohabbat ki zarurat hai bahut

Bashir Badr

jañg to ḳhud ek mas.ala hai

jañg kyā mas.aloñ hal degī

jang to KHud hi ek masala hai

jang kya masalon ka hal degi

Sahir Ludhianvi

ham apnī jaan ke dushman ko apnī jaan kahte haiñ

mohabbat isī miTTī ko hindustān kahte haiñ

hum apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain

mohabbat ki isi miTTi ko hindustan kahte hain

Rahat Indori

ek ho jaa.eñ to ban sakte haiñ ḳhurshīd-e-mubīñ

varna in bikhre hue tāroñ se kyā kaam bane

ek ho jaen to ban sakte hain KHurshid-e-mubin

warna in bikhre hue taron se kya kaam bane

Abul Mujahid Zahid

'hafīz' apnī bolī mohabbat bolī

na urdu na hindī na hindostānī

'hafiz' apni boli mohabbat ki boli

na urdu na hindi na hindostani

Hafeez Jalandhari

diloñ meñ hubb-e-vatan hai agar to ek raho

nikhārnā ye chaman hai agar to ek raho

dilon mein hubb-e-watan hai agar to ek raho

nikhaarna ye chaman hai agar to ek raho

Jafar Malihabadi

sagī bahnoñ jo rishta hai urdu aur hindī meñ

kahīñ duniyā do zinda zabānoñ meñ nahīñ miltā

sagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi mein

kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahin milta

Munawwar Rana

ab to maz.hab koī aisā bhī chalāyā jaa.e

jis meñ insān ko insān banāyā jaa.e

ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae

jis mein insan ko insan banaya jae

Gopaldas Neeraj

yahī hai ibādat yahī diin o īmāñ

ki kaam aa.e duniyā meñ insāñ ke insāñ

yahi hai ibaadat yahi din o iman

ki kaam aae duniya mein insan ke insan

Altaf Hussain Hali

mujh meñ thoḌī jagah bhī nahīñ nafrat ke liye

maiñ to har vaqt mohabbat se bharā rahtā huuñ

mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye

main to har waqt mohabbat se bhara rahta hun

Mirza Athar Zia

ik shajar aisā mohabbat lagāyā jaa.e

jis ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e

ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae

jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae

Zafar Zaidi

ye duniyā nafratoñ ke āḳhrī stage pe hai

ilaaj is mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai

ye duniya nafraton ke aaKHri stage pe hai

ilaj is ka mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin hai

Charan Singh Bashar

ajiib dard rishta hai saarī duniyā meñ

kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe

ajib dard ka rishta hai sari duniya mein

kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe

Malikzaada Manzoor Ahmad

nafrat ke ḳhazāne meñ to kuchh bhī nahīñ baaqī

thoḌā guzāre ke liye pyaar bachā.eñ

nafrat ke KHazane mein to kuchh bhi nahin baqi

thoDa sa guzare ke liye pyar bachaen

Irfan Siddiqi

hamārā ḳhuun rishta hai sarhadoñ nahīñ

hamāre ḳhuun meñ gañgā bhī chanāb bhī hai

hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin

hamare KHun mein ganga bhi chanab bhi hai

Kanval Ziai

hamāre ġham tumhāre ġham barābar haiñ

so is nisbat se tum aur ham barābar haiñ

hamare gham tumhaare gham barabar hain

so is nisbat se tum aur hum barabar hain

Unknown

kisī koī mar jaa.e hamāre ghar meñ mātam hai

ġharaz bārah mahīne tiis din ham ko moharram hai

kisi ka koi mar jae hamare ghar mein matam hai

gharaz barah mahine tis din hum ko moharram hai

Rind Lakhnavi

ahl-e-hunar ke dil meñ dhaḌakte haiñ sab ke dil

saare jahāñ dard hamāre jigar meñ hai

ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil

sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

Fazl Ahmad kariim Fazli

ranjisheñ aisī hazār aapas meñ hotī haiñ dilā

vo agar tujh se ḳhafā hai mil kyā huā

ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila

wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua

Jurat Qalandar Bakhsh

suno hindū musalmāno ki faiz-e-ishq se 'hātim'

huā āzād qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab fāriġh

suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'

hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh

Shaikh Zahuruddin Hatim

ham ahl-e-dil ne me.ayār-e-mohabbat bhī badal Daale

jo ġham har fard ġham hai usī ko ġham samajhte haiñ

hum ahl-e-dil ne meayar-e-mohabbat bhi badal Dale

jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samajhte hain

Ali Jawad Zaidi

mire sehan par khulā āsmān rahe ki maiñ

use dhuup chhāñv meñ bāñTanā nahīñ chāhtā

mere sehan par khula aasman rahe ki main

use dhup chhanw mein banTana nahin chahta

Khawer Eijaz

sharāb nām-e-rindāñ asar suuñ kaif ke

zikr-e-allāh allāh ho ve gar kahe raam raam

pi sharab nam-e-rindan ta asar sun kaif ke

zikr-e-allah allah ho we gar kahe tu ram ram

Qurbi Velori

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now