Fazl Ahmad kariim Fazli
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 7
hai saḳht mushkil meñ jaan saaqī pilā.e āḳhir kidhar se pahle
sabhī kī āñkheñ ye kah rahī haiñ idhar se pahle idhar se pahle
hai saKHt mushkil mein jaan saqi pilae aaKHir kidhar se pahle
sabhi ki aankhen ye kah rahi hain idhar se pahle idhar se pahle
- Add to favorites
-
Share this
ahl-e-hunar ke dil meñ dhaḌakte haiñ sab ke dil
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ġham-e-daurāñ meñ kahāñ baat ġham-e-jānāñ kī
nazm hai apnī jagah ḳhuub magar haa.e ġhazal
gham-e-dauran mein kahan baat gham-e-jaanan ki
nazm hai apni jagah KHub magar hae ghazal
- Add to favorites
-
Share this
hamāre un ke ta.alluq kā ab ye aalam hai
ki dostī kā hai kyā zikr dushmanī bhī nahīñ
hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai
ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
āñkhoñ kā to kaam hī hai ronā
ye girya-e-be-sabab hai pyāre
aankhon ka to kaam hi hai rona
ye girya-e-be-sabab hai pyare
- Add to favorites
-
Share this
BOOKS 6
Videos 3
