Kanval Ziai
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 4
hamārā daur añdheroñ kā daur hai lekin
hamāre daur kī muTThī meñ āftāb bhī hai
hamara daur andheron ka daur hai lekin
hamare daur ki muTThi mein aaftab bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
hamārā ḳhuun kā rishta hai sarhadoñ kā nahīñ
hamāre ḳhuun meñ gañgā bhī chanāb bhī hai
hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin
hamare KHun mein ganga bhi chanab bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
chand sāñsoñ ke liye biktī nahīñ ḳhuddārī
zindagī haath pe rakkhī hai uThā kar le jā
chand sanson ke liye bikti nahin KHuddari
zindagi hath pe rakkhi hai uTha kar le ja
- Add to favorites
-
Share this
jis meñ chhupā huā ho vajūd-e-gunāh-o-kufr
us mo'atabar libās pe tezāb Daal do
jis mein chhupa hua ho wajud-e-gunah-o-kufr
us mo'atabar libas pe tezab Dal do
- Add to favorites
-
Share this