Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Sacrifice

mujh ko atā huā hai ye kaisā libās-e-zīst

baḌhte haiñ jis ke chaak barābar rafū ke saath

mujh ko ata hua hai ye kaisa libas-e-zist

baDhte hain jis ke chaak barabar rafu ke sath

Shakeel Jazib

ye nā-qadrī hamārī is liye hai

tirā hone meñ jaldī kar ga.e ham

ye na-qadri hamari is liye hai

tera hone mein jaldi kar gae hum

Nadeem Shad

javāñ huī mirī beTī to haath ḳhālī haiñ

tamām 'umr to bahneñ biyāhtā rahā maiñ

jawan hui meri beTi to hath KHali hain

tamam 'umr to bahnen biyahta raha main

Sarwar Khan Sarwar

jo ham pe guzrī hai us kā nahīñ alam koī

ġham-e-husain se baḌh kar nahīñ hai ġham koī

jo hum pe guzri hai us ka nahin alam koi

gham-e-husain se baDh kar nahin hai gham koi

Jawad Sarwar Syed

neza ho ki pyāla lab-e-inkār salāmat

ye silsila suqrāt se shabbīr talak hai

neza ho ki pyala lab-e-inkar salamat

ye silsila suqraat se shabbir talak hai

Raz ehtisham

maiñ havāoñ se laḌā huuñ jis kī ḳhātir 'umr bhar

us diye ne hī mire ghar ko jalā kar rakh diyā

main hawaon se laDa hun jis ki KHatir 'umr bhar

us diye ne hi mere ghar ko jala kar rakh diya

Deepesh Sharma Soubhari

pāsbānī karte karte us kī āñkheñ bujh ga.iiñ

'umr bhar jo ḳhvāhish-e-tā'mīr-e-dar kartā rahā

pasbani karte karte us ki aankhen bujh gain

'umr bhar jo KHwahish-e-ta'mir-e-dar karta raha

Faiz Alam Babar

jagah jagah the bhañvar 'ishq ke samundar meñ

vo ḳhud bhī Duub gayā thā mujhe bachāte hue

jagah jagah the bhanwar 'ishq ke samundar mein

wo KHud bhi Dub gaya tha mujhe bachate hue

Faiz Alam Babar

ik hayāt-e-nau chhupī hai karbalā kī raah meñ

karbalā rāh-e-'amal hai manzil-e-mātam nahīñ

ek hayat-e-nau chhupi hai karbala ki rah mein

karbala rah-e-'amal hai manzil-e-matam nahin

M Ali

zarra zarra pukārtā hai ahad

jab shahādat bilāl detā hai

zarra zarra pukarta hai ahad

jab shahadat bilal deta hai

Qasim Rehman

vahī nā-qadrī-e-abnā-e-jahāñ hai lekin

jāñ-nisārī vahī īmān-e-vafā aaj bhī hai

wahi na-qadri-e-abna-e-jahan hai lekin

jaan-nisari wahi iman-e-wafa aaj bhi hai

Abdul Aziz Fitrat
Speak Now