Sher on Andhera
Darkness is depressing
but it is also a reality of human existence and a metaphor of deeper meanings. It is opposed to light as light dispels darkness and restores our sights but it also becomes a passage through which we reach the light. Here are some selections on this theme. We hope you would enjoy these verses.
shahr ke añdhere ko ik charāġh kaafī hai
sau charāġh jalte haiñ ik charāġh jalne se
shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai
sau charagh jalte hain ek charagh jalne se
ulfat kā hai maza ki 'asar' ġham bhī saath hoñ
tārīkiyāñ bhī saath raheñ raushnī ke saath
ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon
tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath
ishq meñ kuchh nazar nahīñ aayā
jis taraf dekhiye añdherā hai
ishq mein kuchh nazar nahin aaya
jis taraf dekhiye andhera hai
raushnī phailī to sab kā rañg kaalā ho gayā
kuchh diye aise jale har-sū añdherā ho gayā
raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya
-
Tag : Raushni
dete nahīñ sujhā.ī jo duniyā ke ḳhatt-o-ḳhāl
aa.e haiñ tīrgī meñ magar raushnī se ham
dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal
aae hain tirgi mein magar raushni se hum
-
Tag : Raushni
añdheroñ ko nikālā jā rahā hai
magar ghar se ujālā jā rahā hai
andheron ko nikala ja raha hai
magar ghar se ujala ja raha hai
aaj kī raat bhī tanhā hī kaTī
aaj ke din bhī añdherā hogā
aaj ki raat bhi tanha hi kaTi
aaj ke din bhi andhera hoga
-
Tag : Raat