aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai

Sarshar Siddiqui

KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai

Sarshar Siddiqui

MORE BYSarshar Siddiqui

    ḳhalvat-e-zāt hai aur anjuman-ārā.ī hai

    bazm bazm hai tanhā.ī tanhā.ī hai

    vo hai ḳhāmosh magar us ke sukūt-e-lab par

    raqs kartā huā ik ālam-e-goyā.ī hai

    jab añdhere mirī āñkhoñ lahū chaaT chuke

    tab in āñkhoñ meñ rifāqat chamak aa.ī hai

    ab ḳhudā us ko banāyā hai to yaad aatā hai

    jaise us but se to barsoñ shanāsā.ī hai

    niiñd TuuTī hai to ehsās-e-ziyāñ bhī jaagā

    dhuup dīvār se āñgan meñ utar aa.ī hai

    pas-e-dīvār-e-abad dekh rahā huuñ ai dost

    merī āñkhoñ meñ mire ahd bīnā.ī hai

    mere chehre pe hai vo aks ki ā.īna-e-zāt

    kabhī merā kabhī ḳhud apnā tamāshā.ī hai

    mere sach meñ to koī khoT nahīñ thā 'sarshār'

    phir ye kyuuñ zahr se tiryāk aa.ī hai

    KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai

    bazm si bazm hai tanhai si tanhai hai

    wo hai KHamosh magar us ke sukut-e-lab par

    raqs karta hua ek aalam-e-goyai hai

    jab andhere meri aankhon ka lahu chaT chuke

    tab in aankhon mein rifaqat ki chamak aai hai

    ab KHuda us ko banaya hai to yaad aata hai

    jaise us but se to barson ki shanasai hai

    nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga

    dhup diwar se aangan mein utar aai hai

    pas-e-diwar-e-abad dekh raha hun ai dost

    meri aankhon mein mere ahd ki binai hai

    mere chehre pe hai wo aks ki aaina-e-zat

    kabhi mera kabhi KHud apna tamashai hai

    mere sach mein to koi khoT nahin tha 'sarshaar'

    phir ye kyun zahr se tiryak ki bu aai hai

    Source:

    Monthly Usloob (Pg. 373)

    • Author: Mushfiq Khawaja
      • Edition: Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
      • Publisher: Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007
      • Year of Publication: Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now