Sher on Romantic
You may well appreciate
how dull this life would be without romance. This romance could be for anything—the images of nature, or those aspects related with human relationships. Life confronts us with its stark realities and we seek our redemption through romance with various objects of life. Here you have different facets of romance drawn from diverse manifestations of life.
ujāle apnī yādoñ ke hamāre saath rahne do
na jaane kis galī meñ zindagī kī shaam ho jaa.e
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
-
Tags : Famous shayariand 6 more
na jī bhar ke dekhā na kuchh baat kī
baḌī aarzū thī mulāqāt kī
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
baDi aarzu thi mulaqat ki
-
Tags : Aarzooand 4 more
aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e
ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e
aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae
-
Tags : Ishqand 1 more
vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā
mas.ala phuul kā hai phuul kidhar jā.egā
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
-
Tags : Ishqand 2 more
dil dhaḌakne kā sabab yaad aayā
vo tirī yaad thī ab yaad aayā
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
-
Tags : Ishqand 3 more
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ
kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main
-
Tags : Famous shayariand 4 more
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
-
Tags : Bechainiand 6 more
maiñ to ġhazal sunā ke akelā khaḌā rahā
sab apne apne chāhne vāloñ meñ kho ga.e
main to ghazal suna ke akela khaDa raha
sab apne apne chahne walon mein kho gae
sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñ
ham dekhne vāloñ kī nazar dekh rahe haiñ
sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain
itnī miltī hai mirī ġhazloñ se sūrat terī
log tujh ko mirā mahbūb samajhte hoñge
itni milti hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhte honge
-
Tags : Ishqand 2 more
tum se bichhaḌ kar zinda haiñ
jaan bahut sharminda haiñ
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
-
Tags : Famous shayariand 5 more
shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko
maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko
shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko
-
Tag : Ishq
yaaro kuchh to zikr karo tum us kī qayāmat bāñhoñ kā
vo jo simaTte hoñge un meñ vo to mar jaate hoñge
yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka
wo jo simaTte honge un mein wo to mar jate honge
tum mujhe chhoḌ ke jāoge to mar jā.ūñgā
yuuñ karo jaane se pahle mujhe pāgal kar do
tum mujhe chhoD ke jaoge to mar jaunga
yun karo jaane se pahle mujhe pagal kar do
tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage
maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
-
Tags : Ishqand 4 more
dil kī choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
-
Tags : Famous shayariand 3 more
jahāñ meñ hone ko ai dost yuuñ to sab hogā
tire laboñ pe mire lab hoñ aisā kab hogā
jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga
tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga
log kahte haiñ ki tū ab bhī ḳhafā hai mujh se
terī āñkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
-
Tags : Eyesand 3 more
pūchh lete vo bas mizāj mirā
kitnā āsān thā ilaaj mirā
puchh lete wo bas mizaj mera
kitna aasan tha ilaj mera
-
Tags : Ayaadatand 1 more
āḳhrī hichkī tire zānūñ pe aa.e
maut bhī maiñ shā.irāna chāhtā huuñ
aaKHri hichki tere zanun pe aae
maut bhi main shairana chahta hun
-
Tags : Famous shayariand 5 more
patthar mujhe kahtā hai mirā chāhne vaalā
maiñ mom huuñ us ne mujhe chhū kar nahīñ dekhā
patthar mujhe kahta hai mera chahne wala
main mom hun us ne mujhe chhu kar nahin dekha
-
Tags : Ishqand 2 more
maiñ jab so jā.ūñ in āñkhoñ pe apne hoñT rakh denā
yaqīñ aa jā.egā palkoñ tale bhī dil dhaḌaktā hai
main jab so jaun in aankhon pe apne honT rakh dena
yaqin aa jaega palkon tale bhi dil dhaDakta hai
-
Tags : Ishqand 2 more
aate aate mirā naam sā rah gayā
us ke hoñToñ pe kuchh kāñptā rah gayā
aate aate mera nam sa rah gaya
us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya
-
Tags : Ishqand 3 more
kaun sī baat hai tum meñ aisī
itne achchhe kyuuñ lagte ho
kaun si baat hai tum mein aisi
itne achchhe kyun lagte ho
-
Tags : Love and romanceand 2 more
vo chehra kitābī rahā sāmne
baḌī ḳhūbsūrat paḌhā.ī huī
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHubsurat paDhai hui
-
Tags : Chehraand 2 more
tum kyā jaano apne aap se kitnā maiñ sharminda huuñ
chhūT gayā hai saath tumhārā aur abhī tak zinda huuñ
tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda hun
chhuT gaya hai sath tumhaara aur abhi tak zinda hun
mujhe tanhā.ī kī aadat hai merī baat chhoḌeñ
ye liije aap kā ghar aa gayā hai haat chhoḌeñ
mujhe tanhai ki aadat hai meri baat chhoDen
ye lije aap ka ghar aa gaya hai hat chhoDen
agar talāsh karūñ koī mil hī jā.egā
magar tumhārī tarah kaun mujh ko chāhegā
agar talash karun koi mil hi jaega
magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega
-
Tag : Farewell
bechain is qadar thā ki soyā na raat bhar
palkoñ se likh rahā thā tirā naam chāñd par
bechain is qadar tha ki soya na raat bhar
palkon se likh raha tha tera nam chand par
kisī sabab se agar boltā nahīñ huuñ maiñ
to yuuñ nahīñ ki tujhe sochtā nahīñ huuñ maiñ
kisi sabab se agar bolta nahin hun main
to yun nahin ki tujhe sochta nahin hun main
-
Tags : Ishqand 2 more
hañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merī
kyuuñ tum āsān samajhte the mohabbat merī
seeing my condition, she laughs and asks of me
"Easy did you then imagine, loving me would be?"
hans ke farmate hain wo dekh ke haalat meri
kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri
seeing my condition, she laughs and asks of me
"Easy did you then imagine, loving me would be?"
-
Tags : Loveand 2 more
mahak rahī hai zamīñ chāñdnī ke phūloñ se
ḳhudā kisī kī mohabbat pe muskurāyā hai
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ek chehra hai jo āñkhoñ meñ basā rahtā hai
ik tasavvur hai jo tanhā nahīñ hone detā
ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai
ek tasawwur hai jo tanha nahin hone deta
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thī lekin
kisī ne mujh ko giraftār kar ke chhoḌ diyā
mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin
kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoD diya
-
Tags : Ishqand 1 more
ilaaj apnā karāte phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho nā mohabbat kyuuñ nahīñ karte
ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte
-
Tags : Ishqand 4 more
sirf us ke hoñT kāġhaz par banā detā huuñ maiñ
ḳhud banā letī hai hoñToñ par hañsī apnī jagah
sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main
KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah
-
Tags : Ishqand 4 more
pyaar kā pahlā ḳhat likhne meñ vaqt to lagtā hai
na.e parindoñ ko uḌne meñ vaqt to lagtā hai
pyar ka pahla KHat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko uDne mein waqt to lagta hai
-
Tags : Famous shayariand 3 more
tumhārā naam aayā aur ham takne lage rasta
tumhārī yaad aa.ī aur khiḌkī khol dī ham ne
tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta
tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne
-
Tags : Ishqand 2 more
ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī
phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī
ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
-
Tags : Diland 1 more
apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe
mire andar se sabhī rañg tumhāre nikle
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
-
Tags : Loveand 1 more
maiñ har haal meñ muskurātā rahūñgā
tumhārī mohabbat agar saath hogī
main har haal mein muskuraata rahunga
tumhaari mohabbat agar sath hogi
-
Tags : Ishqand 1 more
abhī aa.e abhī jaate ho jaldī kyā hai dam le lo
na chheḌūñgā maiñ jaisī chāhe tum mujh se qasam le lo
abhi aae abhi jate ho jaldi kya hai dam le lo
na chheDunga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo
tum phir usī adā se añgḌā.ī le ke hañs do
aa jā.egā palaT kar guzrā huā zamāna
tum phir usi ada se angDai le ke hans do
aa jaega palaT kar guzra hua zamana
qabroñ meñ nahīñ ham ko kitāboñ meñ utāro
ham log mohabbat kī kahānī meñ mareñ haiñ
qabron mein nahin hum ko kitabon mein utaro
hum log mohabbat ki kahani mein maren hain
utar bhī aao kabhī āsmāñ ke ziine se
tumheñ ḳhudā ne hamāre liye banāyā hai
utar bhi aao kabhi aasman ke zine se
tumhein KHuda ne hamare liye banaya hai
-
Tags : Ishqand 1 more
ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā
maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā
ek khilauna TuT jaega naya mil jaega
main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega
-
Tags : Ishqand 1 more
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vaj.h udāsī kā sabab pūchheñge
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
shaam hote hī charāġhoñ ko bujhā detā huuñ
dil hī kaafī hai tirī yaad meñ jalne ke liye
sham hote hi charaghon ko bujha deta hun
dil hi kafi hai teri yaad mein jalne ke liye
maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur kā mujhe sochtā koī aur hai
sar-e-ā.īna mirā aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai
I am someone else's thought, someone else brings me to mind
my image in the mirror wrought, someone else is there behind
main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai
I am someone else's thought, someone else brings me to mind
my image in the mirror wrought, someone else is there behind