Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Javed Naseemi's Photo'

Javed Naseemi

1957 | Rampur, India

Javed Naseemi

Ghazal 9

Sher-o-Shayari 15

be-sāya na ho jaa.e kahīñ ghar mirā yārab

kuchh din se maiñ jhuktā ye shajar dekh rahā huuñ

be-saya na ho jae kahin ghar mera yarab

kuchh din se main jhukta ye shajar dekh raha hun

  • Share this

chāñd qurb lagā kaisā chalo pūchh aa.eñ

āsmānoñ ke safar se vo palaT aayā hai

chand ka qurb laga kaisa chalo puchh aaen

aasmanon ke safar se wo palaT aaya hai

  • Share this

dekhnā chhoḌe nahīñ ḳhvāb mirī āñkhoñ ne

puurā har-chand koī ḳhvāb nahīñ ho paayā

dekhna chhoDe nahin KHwab meri aankhon ne

pura har-chand koi KHwab nahin ho paya

  • Share this

ek chehra hai jo āñkhoñ meñ basā rahtā hai

ik tasavvur hai jo tanhā nahīñ hone detā

ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai

ek tasawwur hai jo tanha nahin hone deta

  • Share this

mujh ko ye mohtāt iḳhlās-e-nazar achchhā lagā

us duzdīda nigāhoñ safar achchhā lagā

mujh ko ye mohtat iKHlas-e-nazar achchha laga

us ki duzdida nigahon ka safar achchha laga

  • Share this

BOOKS 8

 

Image Shayari 1

 

More Poets From "Rampur"

Recitation

Speak Now