Sher on Dard
A list of some of the
favorites on dard shayari. Pain is an inevitable part of living and this collection aptly brings out the sentiment. Dard shayari forms a large part of the spectrum of urdu shayari.
tumhārī yaad meñ duniyā ko huuñ bhulā.e hue
tumhāre dard ko siine se huuñ lagā.e hue
tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue
tumhaare dard ko sine se hun lagae hue
-
Tag : Yaad
dard-e-dil kī unheñ ḳhabar kyā ho
jāntā kaun hai parā.ī choT
dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho
jaanta kaun hai parai choT
-
Tag : Dil-lagi
haath rakh rakh ke vo siine pe kisī kā kahnā
dil se dard uThtā hai pahle ki jigar se pahle
hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna
dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle
-
Tag : Dil
agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotā
na kuchh marne kā ġham hotā na jiine kā mazā hotā
agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
-
Tag : Mohabbat
kabhī sahar to kabhī shaam le gayā mujh se
tumhārā dard ka.ī kaam le gayā mujh se
kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se
tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se
talḳhiyāñ is meñ bahut kuchh haiñ mazā kuchh bhī nahīñ
zindagī dard-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
talKHiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin
zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
-
Tags : Mohabbatand 1 more
ab mirā dard mirī jaan huā jaatā hai
ai mire chāragaro ab mujhe achchhā na karo
ab mera dard meri jaan hua jata hai
ai mere chaaragaro ab mujhe achchha na karo
-
Tag : Charagar
chāñd tanhā hai āsmāñ tanhā
dil milā hai kahāñ kahāñ tanhā
chand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
-
Tag : Tanhai
raas aane lagī duniyā to kahā dil ne ki jā
ab tujhe dard kī daulat nahīñ milne vaalī
ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja
ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali
-
Tags : Attitudeand 2 more
ik ye bhī to andāz-e-ilāj-e-ġham-e-jāñ hai
ai chāragaro dard baḌhā kyuuñ nahīñ dete
ek ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDha kyun nahin dete
-
Tag : Charagar
mire laboñ kā tabassum to sab ne dekh liyā
jo dil pe biit rahī hai vo koī kyā jaane
mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya
jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane
-
Tag : Dil
ishq us dard kā nahīñ qaa.il
jo musībat kī intihā na huā
ishq us dard ka nahin qail
jo musibat ki intiha na hua
-
Tags : Ishqand 1 more
ġham se bahal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
dard meñ Dhal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajib hain
-
Tag : Gham
is meñ koī mirā sharīk nahīñ
merā dukh aah sirf merā hai
is mein koi mera sharik nahin
mera dukh aah sirf mera hai
dard merāj ko pahuñchtā hai
jab koī tarjumāñ nahīñ miltā
dard meraj ko pahunchta hai
jab koi tarjuman nahin milta
diida o dil ne dard kī apne baat bhī kī to kis se kī
vo to dard kā baanī Thahrā vo kyā dard baTā.egā
dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega
kis liye kam nahīñ hai dard-e-firāq
ab to vo dhyān se utar bhī ga.e
kis liye kam nahin hai dard-e-firaq
ab to wo dhyan se utar bhi gae
ab ke safar meñ dard ke pahlū ajiib haiñ
jo log ham-ḳhayāl na the ham-safar hue
ab ke safar mein dard ke pahlu ajib hain
jo log ham-KHayal na the ham-safar hue
aan ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huī
lab par us ke naam thā terā jab bhī dard shadīd huā
aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua
-
Tag : Ayaadat
yaaro na.e mausam ne ye ehsān kiye haiñ
ab yaad mujhe dard purāne nahīñ aate
yaro nae mausam ne ye ehsan kiye hain
ab yaad mujhe dard purane nahin aate
shab ke sannāTe meñ ye kis kā lahū gaatā hai
sarhad-e-dard se ye kis kī sadā aatī hai
shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gata hai
sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai
dard biktā nahīñ bāzār-e-jahāñ meñ varna
jaan tak bech ke letā maiñ tire dil ke liye
dard bikta nahin bazar-e-jahan mein warna
jaan tak bech ke leta main tere dil ke liye
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kyā matlab ye kaise ho ye kyūñkar ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
-
Tags : Diland 1 more
dil sarāpā dard thā vo ibtidā-e-ishq thī
intihā ye hai ki 'fānī' dard ab dil ho gayā
dil sarapa dard tha wo ibtida-e-ishq thi
intiha ye hai ki 'fani' dard ab dil ho gaya
kuchh dard kī shiddat hai kuchh pās-e-mohabbat hai
ham aah to karte haiñ fariyād nahīñ karte
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
-
Tag : Aah
dard tū mere paas se marte talak na jā.iyo
tāqat-e-sabr ho na ho tāb-o-qarār ho na ho
dard tu mere pas se marte talak na jaiyo
taqat-e-sabr ho na ho tab-o-qarar ho na ho
ulfat ke badle un se milā dard-e-lā-ilāj
itnā baḌhe hai dard maiñ jitnī davā karūñ
ulfat ke badle un se mila dard-e-la-ilaj
itna baDhe hai dard main jitni dawa karun
dard-e-dil pahle to vo sunte na the
ab ye kahte haiñ zarā āvāz se
dard-e-dil pahle to wo sunte na the
ab ye kahte hain zara aawaz se
-
Tags : Awazand 1 more
'firāq' dauḌ ga.ī ruuh sī zamāne meñ
kahāñ kā dard bharā thā mire fasāne meñ
'firaq' dauD gai ruh si zamane mein
kahan ka dard bhara tha mere fasane mein
tez hai aaj dard-e-dil saaqī
talḳhī-e-mai ko tez-tar kar de
tez hai aaj dard-e-dil saqi
talKHi-e-mai ko tez-tar kar de
-
Tags : Diland 1 more
dukh de yā rusvā.ī de
ġham ko mire gahrā.ī de
dukh de ya ruswai de
gham ko mere gahrai de
-
Tags : Ghamand 1 more
nāvak-e-nāz se mushkil hai bachānā dil kā
dard uTh uTh ke batātā hai Thikānā dil kā
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
ranj-o-ġham dard-o-alam zillat-o-rusvā.ī hai
ham ne ye dil ke lagāne kī sazā paa.ī hai
ranj-o-gham dard-o-alam zillat-o-ruswai hai
hum ne ye dil ke lagane ki saza pai hai
dil kā saarā dard simaT aayā hai merī palkoñ meñ
kitne tāj-mahal Dūbeñge paanī kī in būñdoñ meñ
dil ka sara dard simaT aaya hai meri palkon mein
kitne taj-mahal Dubenge pani ki in bundon mein
dushman-e-jāñ hī sahī saath to ik umr kā hai
dil se ab dard kī ruḳhsat nahīñ dekhī jaatī
dushman-e-jaan hi sahi sath to ek umr ka hai
dil se ab dard ki ruKHsat nahin dekhi jati
-
Tag : Dil
dard-e-dil se uThā nahīñ jaatā
jab se vo haath rakh ga.e dil par
dard-e-dil se uTha nahin jata
jab se wo hath rakh gae dil par
haath phailā.ūñ maiñ īsā-nafasoñ ke aage
dard pahlū meñ mire hai magar itnā bhī nahīñ
hath phailaun main isa-nafason ke aage
dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin
ye dil kā dard to umroñ kā rog hai pyāre
so jaa.e bhī to pahr do pahr ko jaatā hai
ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare
so jae bhi to pahr do pahr ko jata hai
-
Tag : Dil
pahlū meñ mere dil ko na ai dard kar talāsh
muddat huī ġharīb vatan se nikal gayā
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
-
Tag : Dil
dil mirā dard ke sivā kyā hai
ibtidā ye to intihā kyā hai
dil mera dard ke siwa kya hai
ibtida ye to intiha kya hai
-
Tag : Dil
minnat-e-chāra-sāz kaun kare
dard jab jāñ-navāz ho jaa.e
minnat-e-chaara-saz kaun kare
dard jab jaan-nawaz ho jae
ab ye bhī nahīñ Thiik ki har dard miTā deñ
kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiñ
ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den
kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
zaḳhm kitne tirī chāhat se mile haiñ mujh ko
sochtā huuñ ki kahūñ tujh se magar jaane de
zaKHm kitne teri chahat se mile hain mujh ko
sochta hun ki kahun tujh se magar jaane de
ek do zaḳhm nahīñ jism hai saarā chhalnī
dard be-chāra pareshāñ hai kahāñ se nikle
ek do zaKHm nahin jism hai sara chhalni
dard be-chaara pareshan hai kahan se nikle
dard baḌh kar davā na ho jaa.e
zindagī be-mazā na ho jaa.e
dard baDh kar dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
-
Tag : Zindagi
kyuuñ hijr ke shikve kartā hai kyuuñ dard ke rone rotā hai
ab ishq kiyā to sabr bhī kar is meñ to yahī kuchh hotā hai
kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai
-
Tags : Hijrand 2 more
maraz-e-ishq ko shifā samjhe
dard ko dard kī davā samjhe
maraz-e-ishq ko shifa samjhe
dard ko dard ki dawa samjhe
bīmār-e-ġham kī chāragarī kuchh zarūr hai
vo dard dil meñ de ki masīhā kaheñ jise
bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise
-
Tag : Dil
ek dil hai ki nahīñ dard se dam bhar ḳhālī
varna kyā kyā nazar aa.e na bhare ghar ḳhālī
ek dil hai ki nahin dard se dam bhar KHali
warna kya kya nazar aae na bhare ghar KHali