Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Shaikh Zahuruddin Hatim

1699 - 1783 | Delhi, India

Sher of Shaikh Zahuruddin Hatim

10.6K
Favorite

SORT BY

chāñd se tujh ko jo de nisbat so be-insāf hai

chāñd ke muñh par haiñ chhā.īñ terā mukhḌā saaf hai

chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai

chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai

muddat se ḳhvāb meñ bhī nahīñ niiñd ḳhayāl

hairat meñ huuñ ye kis mujhe intizār hai

muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal

hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai

itnā maiñ intizār kiyā us raah meñ

jo rafta rafta dil mirā bīmār ho gayā

itna main intizar kiya us ki rah mein

jo rafta rafta dil mera bimar ho gaya

kapḌe safed dho ke jo pahne to kyā huā

dhonā vahī jo dil siyāhī ko dhoiye

kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua

dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye

tanhā.ī se aatī nahīñ din raat mujhe niiñd

yā-rab mirā ham-ḳhvāb o ham-āġhosh kahāñ hai

tanhai se aati nahin din raat mujhe nind

ya-rab mera ham-KHwab o ham-aghosh kahan hai

aa.ī eid va dil meñ nahīñ kuchh havā-e-eid

ai kaash mere paas aatā bajā.e eid

aai eid wa dil mein nahin kuchh hawa-e-eid

ai kash mere pas tu aata bajae eid

muddat se aarzū hai ḳhudā vo ghaḌī kare

ham tum piyeñ jo mil ke kahīñ ek sharāb

muddat se aarzu hai KHuda wo ghaDi kare

hum tum piyen jo mil ke kahin ek ja sharab

tere aane se ḳhushī hai dil

juuñ ki bulbul bahār ḳhātir

tere aane se yu KHushi hai dil

jun ki bulbul bahaar ki KHatir

'hātim' us zulf taraf mat dekh

jaan kar kyuuñ balā meñ phañstā hai

'hatim' us zulf ki taraf mat dekh

jaan kar kyun bala mein phansta hai

aisā karūñgā ab ke garebāñ ko taar taar

jo phir kisī tarah se kisī se rafū na ho

aisa karunga ab ke gareban ko tar tar

jo phir kisi tarah se kisi se rafu na ho

ham tirī raah meñ juuñ naqsh-e-qadam baiThe haiñ

taġhāful kiye ai yaar chalā jaatā hai

hum teri rah mein jun naqsh-e-qadam baiThe hain

tu taghaful kiye ai yar chala jata hai

ḳhudā ke vāste us se na bolo

nashe lahr meñ kuchh bak rahā hai

KHuda ke waste us se na bolo

nashe ki lahr mein kuchh bak raha hai

saaqī mujhe ḳhumār satā.e hai sharāb

martā huuñ tishnagī se ai zālim pilā sharāb

saqi mujhe KHumar satae hai la sharab

marta hun tishnagi se ai zalim pila sharab

tirī jo zulf aayā ḳhayāl āñkhoñ meñ

vahīñ khaTakne lagā baal baal āñkhoñ meñ

teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein

wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein

dostoñ se dushmanī aur dushmanoñ se dostī

be-muravvat bevafā be-rahm ye kyā Dhañg hai

doston se dushmani aur dushmanon se dosti

be-murawwat bewafa be-rahm ye kya Dhang hai

holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne

nām-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai

holi ke ab bahane chhiDka hai rang kis ne

nam-e-KHuda tujh upar is aan ajab saman hai

uThūñ phir kar agar ek bosa de mujhe

chūsnā lab tire hai mujh ko juuñ āb-e-hayāt

ji uThun phir kar agar tu ek bosa de mujhe

chusna lab ka tere hai mujh ko jun aab-e-hayat

mujhe ta.avīz likh do ḳhūn-e-āhū se ki ai syāno

taġhāful ToTkā hai aur jaadū hai nazar us

mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano

taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki

adā-o-nāz o karishma jafā-o-jaur-o-sitam

udhar ye sab haiñ idhar ek merī jaañ tanhā

ada-o-naz o karishma jafa-o-jaur-o-sitam

udhar ye sab hain idhar ek meri jaan tanha

sau baar taar taar kiyā to bhī ab talak

sābit vahī hai dast o garebāñ dostī

sau bar tar tar kiya to bhi ab talak

sabit wahi hai dast o gareban ki dosti

ai ḳhizāñ bhaag chaman se shitāb

varna fauj-e-bahār aave hai

ai KHizan bhag ja chaman se shitab

warna fauj-e-bahaar aawe hai

nazar meñ band kare hai ek aalam ko

fusūñ hai sehr hai jaadū hai kyā hai āñkhoñ meñ

nazar mein band kare hai tu ek aalam ko

fusun hai sehr hai jadu hai kya hai aankhon mein

tumhāre ishq meñ ham nañg-o-nām bhuul ga.e

jahāñ meñ kaam the jitne tamām bhuul ga.e

tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae

jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae

vaqt fursat de to mil baiTheñ kahīñ bāham do dam

ek muddat se diloñ meñ hasrat-e-tarfain hai

waqt fursat de to mil baiThen kahin baham do dam

ek muddat se dilon mein hasrat-e-tarfain hai

kabhū bīmār sun kar vo ayādat ko to aatā thā

hameñ apne bhale hone se vo āzār behtar thā

kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha

hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha

fil-haqīqat koī nahīñ martā

maut hikmat ek pardā hai

fil-haqiqat koi nahin marta

maut hikmat ka ek parda hai

mere aañsū ke pochhne ko miyāñ

terī ho āstīñ ḳhudā na kare

mere aansu ke pochhne ko miyan

teri ho aastin KHuda na kare

bul-havas go kareñ tere lab-e-shīrīñ par hujūm

talḳh mat ho ki miThā.ī se magas aatī hai

bul-hawas go karen tere lab-e-shirin par hujum

talKH mat ho ki miThai se magas aati hai

muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī

uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī

muhayya sab hai ab asbab-e-holi

uTho yaro bharo rangon se jholi

tire ruḳhsār se be-tarah lipTī jaa.e hai zālim

jo kuchh kahiye to bal khā uljhatī hai zulf be-Dhañgī

tere ruKHsar se be-tarah lipTi jae hai zalim

jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi

suno hindū musalmāno ki faiz-e-ishq se 'hātim'

huā āzād qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab fāriġh

suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'

hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh

us vaqt dil mirā tire panje ke biich thā

jis vaqt ne haat lagāyā thā haat ko

us waqt dil mera tere panje ke bich tha

jis waqt tu ne hat lagaya tha hat ko

merā ma.ashūq hai mazoñ meñ bharā

kabhū mīThā kabhū salonā hai

mera mashuq hai mazon mein bhara

kabhu miTha kabhu salona hai

mazra-e-duniyā meñ daanā hai to Dar kar haath Daal

ek din denā hai tujh ko daane daane hisāb

mazra-e-duniya mein dana hai to Dar kar hath Dal

ek din dena hai tujh ko dane dane ka hisab

ye kis maz.hab meñ aur mashrab meñ hai hindū musalmāno

ḳhudā ko chhoḌ dil meñ ulfat-e-dair-o-haram rakhnā

ye kis mazhab mein aur mashrab mein hai hindu musalmano

KHuda ko chhoD dil mein ulfat-e-dair-o-haram rakhna

ahl-e-ma.ānī juz na būjhegā koī is ramz ko

ham ne paayā hai ḳhudā ko sūrat-e-insāñ ke biich

ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko

hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich

phaḌkūñ to sar phaTe hai na phaḌkūñ to ghaTe

tañg is qadar diyā mujhe sayyād ne qafas

phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe

tang is qadar diya mujhe sayyaad ne qafas

dekhūñ huuñ tujh ko duur se baiThā hazār kos

ainak na chāhiye na yahāñ dūrbīñ mujhe

dekhun hun tujh ko dur se baiTha hazar kos

ainak na chahiye na yahan durbin mujhe

na kuchh sitam se tire aah aah kartā huuñ

maiñ apne dil madad gaah gaah kartā huuñ

na kuchh sitam se tere aah aah karta hun

main apne dil ki madad gah gah karta hun

muddat huī palak se palak āshnā nahīñ

kyā is se ab ziyāda kare intizār chashm

muddat hui palak se palak aashna nahin

kya is se ab ziyaada kare intizar chashm

hamārī guftugū sab se judā hai

hamāre sab suḳhan haiñ bāñkpan ke

hamari guftugu sab se juda hai

hamare sab suKHan hain bankpan ke

maiñ jāñ-ba-lab huuñ ai taqdīr tere hāthoñ se

ki tere aage mirī kuchh na chal sakī tadbīr

main jaan-ba-lab hun ai taqdir tere hathon se

ki tere aage meri kuchh na chal saki tadbir

ek din pūchhā na 'hātim' ko kabhū us ne ki dost

kab se bīmār hai aur kyā tujhe āzār hai

ek din puchha na 'hatim' ko kabhu us ne ki dost

kab se tu bimar hai aur kya tujhe aazar hai

jo meñ aave to Tuk jhāñk apne dil taraf

ki us taraf ko idhar se bhī raah nikle hai

jo ji mein aawe to Tuk jhank apne dil ki taraf

ki us taraf ko idhar se bhi rah nikle hai

maiñ jitnā DhūñDhtā huuñ us ko utnā nahīñ paatā

kidhar hai kis taraf hai aur kahāñ hai dil ḳhudā jaane

main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata

kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane

ruḳhsār ke araq tire bhaav dekh kar

paanī ke mol nirḳh huā hai gulāb

ruKHsar ke araq ka tere bhaw dekh kar

pani ke mol nirKH hua hai gulab ka

chhal-bal us nigāh mat pūchh

sehr hai ToTkā hai Tonā hai

chhal-bal us ki nigah ka mat puchh

sehr hai ToTka hai Tona hai

ek bosa māñgtā hai tum se 'hātim' gadā

jāniyo rāh-e-ḳhudā meñ ye bhī ik ḳhairāt

ek bosa mangta hai tum se 'hatim' sa gada

jaaniyo rah-e-KHuda mein ye bhi ek KHairaat ki

agar rote na ham to dekhte tum

jahāñ meñ naav ko dariyā na hotā

agar rote na hum to dekhte tum

jahan mein naw ko dariya na hota

sabr bin aur kuchh na lo hamrāh

kūcha-e-ishq tañg hai yaaro

sabr bin aur kuchh na lo hamrah

kucha-e-ishq tang hai yaro

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now