Sher on Nigaah
A glance means so much
to one who casts it, as well as to the other who receives it. In romantic poetry especially, a glance has a special meaning. Interestingly, all glances are not the same as each glance has its own angle and its own message. We hope that you would appreciate our selection on this subject.
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kā
na ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
-
Tags : Diland 2 more
kuchh tumhārī nigāh kāfir thī
kuchh mujhe bhī ḳharāb honā thā
kuchh tumhaari nigah kafir thi
kuchh mujhe bhi KHarab hona tha
ḳhudā bachā.e tirī mast mast āñkhoñ se
farishta ho to bahak jaa.e aadmī kyā hai
KHuda bachae teri mast mast aankhon se
farishta ho to bahak jae aadmi kya hai
karne ga.e the us se taġhāful kā ham gila
kī ek hī nigāh ki bas ḳhaak ho ga.e
karne gae the us se taghaful ka hum gila
ki ek hi nigah ki bas KHak ho gae
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
-
Tags : Adaand 2 more
sab kuchh to hai kyā DhūñDtī rahtī haiñ nigāheñ
kyā baat hai maiñ vaqt pe ghar kyuuñ nahīñ jaatā
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
-
Tags : Gharand 2 more
ye kin nazroñ se tū ne aaj dekhā
ki terā dekhnā dekhā na jaa.e
ye kin nazron se tu ne aaj dekha
ki tera dekhna dekha na jae
-
Tags : Ishqand 1 more
nigāh barq nahīñ chehra āftāb nahīñ
vo aadmī hai magar dekhne kī taab nahīñ
nigah barq nahin chehra aaftab nahin
wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin
-
Tags : Famous shayariand 2 more
saaqī mujhe sharāb kī tohmat nahīñ pasand
mujh ko tirī nigāh kā ilzām chāhiye
the charge of being affected by wine, I do despise
I want to be accused of feasting from your eyes
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand
mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye
the charge of being affected by wine, I do despise
I want to be accused of feasting from your eyes
-
Tag : Sharab
āñkheñ jo uThā.e to mohabbat kā gumāñ ho
nazroñ ko jhukā.e to shikāyat sī lage hai
aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho
nazron ko jhukae to shikayat si lage hai
maiñ umr bhar javāb nahīñ de sakā 'adam'
vo ik nazar meñ itne savālāt kar ga.e
main umr bhar jawab nahin de saka 'adam'
wo ek nazar mein itne sawalat kar gae
mohabbat kā tum se asar kyā kahūñ
nazar mil ga.ī dil dhaḌakne lagā
mohabbat ka tum se asar kya kahun
nazar mil gai dil dhaDakne laga
dhokā thā nigāhoñ kā magar ḳhuub thā dhokā
mujh ko tirī nazroñ meñ mohabbat nazar aa.ī
dhoka tha nigahon ka magar KHub tha dhoka
mujh ko teri nazron mein mohabbat nazar aai
log nazroñ ko bhī paḌh lete haiñ
apnī āñkhoñ ko jhukā.e rakhnā
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukae rakhna
un ras bharī āñkhoñ meñ hayā khel rahī hai
do zahr ke pyāloñ meñ qazā khel rahī hai
un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai
do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai
dīdār kī talab ke tarīqoñ se be-ḳhabar
dīdār kī talab hai to pahle nigāh maañg
ignorant of mores when seeking visions bright
if you want the vision, you first need the sight
didar ki talab ke tariqon se be-KHabar
didar ki talab hai to pahle nigah mang
ignorant of mores when seeking visions bright
if you want the vision, you first need the sight
-
Tag : Deedar
tujhe dānista mahfil meñ jo dekhā ho to mujrim huuñ
nazar āḳhir nazar hai be-irāda uTh ga.ī hogī
tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun
nazar aaKHir nazar hai be-irada uTh gai hogi
āñkheñ na jiine deñgī tirī be-vafā mujhe
kyuuñ khiḌkiyoñ se jhāñk rahī hai qazā mujhe
aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe
kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe
pahlī nazar bhī aap kī uff kis balā kī thī
ham aaj tak vo choT haiñ dil par liye hue
pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
ab aa.eñ yā na aa.eñ idhar pūchhte chalo
kyā chāhtī hai un kī nazar pūchhte chalo
ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo
kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo
saaqī zarā nigāh milā kar to dekhnā
kambaḳht hosh meñ to nahīñ aa gayā huuñ maiñ
saqi zara nigah mila kar to dekhna
kambaKHt hosh mein to nahin aa gaya hun main
-
Tag : Saqi
dekhī haiñ baḌe ġhaur se maiñ ne vo nigāheñ
āñkhoñ meñ muravvat kā kahīñ naam nahīñ hai
dekhi hain baDe ghaur se main ne wo nigahen
aankhon mein murawwat ka kahin nam nahin hai
jis taraf uTh ga.ī haiñ aa.heñ haiñ
chashm-e-bad-dūr kyā nigāheñ haiñ
jis taraf uTh gai hain aahen hain
chashm-e-bad-dur kya nigahen hain
idhar udhar mirī āñkheñ tujhe pukārtī haiñ
mirī nigāh nahīñ hai zabān hai goyā
idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain
meri nigah nahin hai zaban hai goya
dekhā hai kis nigāh se tū ne sitam-zarīf
mahsūs ho rahā hai maiñ ġharq-e-sharāb huuñ
dekha hai kis nigah se tu ne sitam-zarif
mahsus ho raha hai main gharq-e-sharab hun
be-ḳhud bhī haiñ hoshiyār bhī haiñ dekhne vaale
in mast nigāhoñ kī adā aur hī kuchh hai
be-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale
in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai
-
Tag : Ada
diid ke qābil hasīñ to haiñ bahut
har nazar dīdār ke qābil nahīñ
did ke qabil hasin to hain bahut
har nazar didar ke qabil nahin
qayāmat hai tirī uThtī javānī
ġhazab Dhāne lagīñ nīchī nigāheñ
qayamat hai teri uThti jawani
ghazab Dhane lagin nichi nigahen
barsoñ rahe haiñ aap hamārī nigāh meñ
ye kyā kahā ki ham tumheñ pahchānte nahīñ
barson rahe hain aap hamari nigah mein
ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin
adā adā tirī mauj-e-sharāb ho ke rahī
nigāh-e-mast se duniyā ḳharāb ho ke rahī
ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi
nigah-e-mast se duniya KHarab ho ke rahi
-
Tag : Ada
shaguftagī-e-dil-e-kārvāñ ko kyā samjhe
vo ik nigāh jo uljhī huī bahār meñ hai
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
-
Tag : Bahaar
baat terī sunī nahīñ maiñ ne
dhyān merā tirī nazar par thā
baat teri suni nahin main ne
dhyan mera teri nazar par tha
vo nazar kāmyāb ho ke rahī
dil kī bastī ḳharāb ho ke rahī
wo nazar kaamyab ho ke rahi
dil ki basti KHarab ho ke rahi
haal kah dete haiñ nāzuk se ishāre akasr
kitnī ḳhāmosh nigāhoñ kī zabāñ hotī hai
haal kah dete hain nazuk se ishaare akasr
kitni KHamosh nigahon ki zaban hoti hai
koī kis tarah rāz-e-ulfat chhupā.e
nigāheñ milīñ aur qadam Dagmagā.e
koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupae
nigahen milin aur qadam Dagmagae
hai tere liye saarā jahāñ husn se ḳhālī
ḳhud husn agar terī nigāhoñ meñ nahīñ hai
hai tere liye sara jahan husn se KHali
KHud husn agar teri nigahon mein nahin hai
nazar bhar ke jo dekh sakte haiñ tujh ko
maiñ un kī nazar dekhnā chāhtā huuñ
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhna chahta hun
kab un āñkhoñ kā sāmnā na huā
tiir jin kā kabhī ḳhatā na huā
kab un aankhon ka samna na hua
tir jin ka kabhi KHata na hua
saaqī mire bhī dil kī taraf Tuk nigāh kar
lab-tishna terī bazm meñ ye jaam rah gayā
saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya
nigāh-e-nāz kī māsūmiyat are tauba
jo ham fareb na khāte to aur kyā karte
nigah-e-naz ki masumiyat are tauba
jo hum fareb na khate to aur kya karte
liyā jo us kī nigāhoñ ne jā.eza merā
to TuuT TuuT gayā ḳhud se rābta merā
liya jo us ki nigahon ne jaeza mera
to TuT TuT gaya KHud se rabta mera
vo kāfir-nigāheñ ḳhudā kī panāh
jidhar phir ga.iiñ faisla ho gayā
those faithless eyes, lord's mercy abide!
wherever they turn, they deem to decide
wo kafir-nigahen KHuda ki panah
jidhar phir gain faisla ho gaya
those faithless eyes, lord's mercy abide!
wherever they turn, they deem to decide
haa.e vo rāz-e-ġham ki jo ab tak
tere dil meñ mirī nigāh meñ hai
hae wo raaz-e-gham ki jo ab tak
tere dil mein meri nigah mein hai
-
Tags : Diland 2 more
khaḌā huuñ der se maiñ arz-e-mudda.ā ke liye
idhar bhī ek nazar kījiye ḳhudā ke liye
khaDa hun der se main arz-e-muddaa ke liye
idhar bhi ek nazar kijiye KHuda ke liye
sīdhī nigāh meñ tirī haiñ tiir ke ḳhvās
tirchhī zarā huī to haiñ shamshīr ke ḳhvās
sidhi nigah mein teri hain tir ke KHwas
tirchhi zara hui to hain shamshir ke KHwas
mujhe ta.avīz likh do ḳhūn-e-āhū se ki ai syāno
taġhāful ToTkā hai aur jaadū hai nazar us kī
mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano
taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki
us ne mirī nigāh ke saare suḳhan samajh liye
phir bhī mirī nigāh meñ ek savāl hai nayā
us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye
phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya