Sher on Hausla
What worth is life without
confidence and courage, or even without the will to live? In fact, life is worth living because there is some courage in us to live it in whatever condition we are. Some of these shers will unveil the real meaning of life lived with nerve, perseverance, poise and self-assurance. You may go through this selection to get some lessons of life.
ham ko miTā sake ye zamāne meñ dam nahīñ
ham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin
-
Tags : Attitudeand 3 more
hazār barq gire laakh āñdhiyāñ uTTheñ
vo phuul khil ke raheñge jo khilne vaale haiñ
hazar barq gire lakh aandhiyan uTThen
wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain
-
Tag : Motivational
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
-
Tags : Iqbal Dayand 1 more
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā bāzu-e-qātil meñ hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
-
Tags : Deshbhaktiand 3 more
jo tūfānoñ meñ palte jā rahe haiñ
vahī duniyā badalte jā rahe haiñ
jo tufanon mein palte ja rahe hain
wahi duniya badalte ja rahe hain
vaqt aane de dikhā deñge tujhe ai āsmāñ
ham abhī se kyuuñ batā.eñ kyā hamāre dil meñ hai
waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman
hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai
nahīñ terā nasheman qasr-e-sultānī ke gumbad par
tū shāhīñ hai baserā kar pahāḌoñ kī chaTānoñ meñ
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein
-
Tag : Motivational
sāhil ke sukūñ se kise inkār hai lekin
tūfān se laḌne meñ mazā aur hī kuchh hai
sahil ke sukun se kise inkar hai lekin
tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai
-
Tag : Motivational
log kahte haiñ badaltā hai zamāna sab ko
mard vo haiñ jo zamāne ko badal dete haiñ
log kahte hain badalta hai zamana sab ko
mard wo hain jo zamane ko badal dete hain
-
Tag : Motivational
ab havā.eñ hī kareñgī raushnī kā faisla
jis diye meñ jaan hogī vo diyā rah jā.egā
the winds will now decide what happens to the light
those lamps that have the strength, will survive the night
ab hawaen hi karengi raushni ka faisla
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
the winds will now decide what happens to the light
those lamps that have the strength, will survive the night
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne dīvāroñ ko apnī aur ūñchā kar diyā
mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte raheñge
jo dil pe guzartī hai raqam karte raheñge
We will nourish the pen and tablet; we will tend them ever
We will write what the heart suffers; we will defend them ever
hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
We will nourish the pen and tablet; we will tend them ever
We will write what the heart suffers; we will defend them ever
-
Tags : Inquilaband 1 more
vāqif kahāñ zamāna hamārī uḌaan se
vo aur the jo haar ga.e āsmān se
waqif kahan zamana hamari uDan se
wo aur the jo haar gae aasman se
siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne kā
yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne kā
siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
apnā zamāna aap banāte haiñ ahl-e-dil
ham vo nahīñ ki jin ko zamāna banā gayā
apna zamana aap banate hain ahl-e-dil
hum wo nahin ki jin ko zamana bana gaya
dekh zindāñ se pare rañg-e-chaman josh-e-bahār
raqs karnā hai to phir paañv kī zanjīr na dekh
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh
mere siine meñ nahīñ to tere siine meñ sahī
ho kahīñ bhī aag lekin aag jalnī chāhiye
mere sine mein nahin to tere sine mein sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye
-
Tag : Inquilab
abhī se paañv ke chhāle na dekho
abhī yaaro safar kī ibtidā hai
abhi se panw ke chhaale na dekho
abhi yaro safar ki ibtida hai
log jis haal meñ marne kī duā karte haiñ
maiñ ne us haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai
log jis haal mein marne ki dua karte hain
main ne us haal mein jine ki qasam khai hai
ye kah ke dil ne mire hausle baḌhā.e haiñ
ġhamoñ kī dhuup ke aage ḳhushī ke saa.e haiñ
ye kah ke dil ne mere hausle baDhae hain
ghamon ki dhup ke aage KHushi ke sae hain
-
Tag : Motivational
haar ho jaatī hai jab maan liyā jaatā hai
jiit tab hotī hai jab Thaan liyā jaatā hai
haar ho jati hai jab man liya jata hai
jit tab hoti hai jab Than liya jata hai
-
Tag : Motivational
tiir khāne kī havas hai to jigar paidā kar
sarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar
-
Tags : Motivationaland 1 more
jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagā.e haiñ sab ke
usī maqām se ab apnā rāstā hogā
jahan pahunch ke qadam Dagmagae hain sab ke
usi maqam se ab apna rasta hoga
-
Tag : Motivational
baḌh ke tūfān ko āġhosh meñ le le apnī
Dūbne vaale tire haath se sāhil to gayā
baDh ke tufan ko aaghosh mein le le apni
Dubne wale tere hath se sahil to gaya
-
Tag : Motivational
maiñ āñdhiyoñ ke paas talāsh-e-sabā meñ huuñ
tum mujh se pūchhte ho mirā hausla hai kyā
main aandhiyon ke pas talash-e-saba mein hun
tum mujh se puchhte ho mera hausla hai kya
shah-zor apne zor meñ girtā hai misl-e-barq
vo tifl kyā giregā jo ghuTnoñ ke bal chale
shah-zor apne zor mein girta hai misl-e-barq
wo tifl kya girega jo ghuTnon ke bal chale
-
Tags : Filmi Shayariand 2 more
bhañvar se laḌo tund lahroñ se uljho
kahāñ tak chaloge kināre kināre
bhanwar se laDo tund lahron se uljho
kahan tak chaloge kinare kinare
-
Tags : Mashwaraand 1 more
yaqīn ho to koī rāsta nikaltā hai
havā kī oT bhī le kar charāġh jaltā hai
yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hawa ki oT bhi le kar charagh jalta hai
-
Tags : Motivationaland 1 more
vaqt kī gardishoñ kā ġham na karo
hausle mushkiloñ meñ palte haiñ
waqt ki gardishon ka gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
-
Tags : Motivationaland 1 more
havā ḳhafā thī magar itnī sañg-dil bhī na thī
hamīñ ko sham.a jalāne kā hausla na huā
hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua
-
Tag : Hawa
jalāne vaale jalāte hī haiñ charāġh āḳhir
ye kyā kahā ki havā tez hai zamāne kī
jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir
ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki
sadā ek hī ruḳh nahīñ naav chaltī
chalo tum udhar ko havā ho jidhar kī
sada ek hi ruKH nahin naw chalti
chalo tum udhar ko hawa ho jidhar ki
-
Tag : Motivational
ā.īn-e-javāñ-mardāñ haq-goī o be-bākī
allāh ke sheroñ ko aatī nahīñ rūbāhī
aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
allah ke sheron ko aati nahin rubahi
itne māyūs to hālāt nahīñ
log kis vāste ghabrā.e haiñ
itne mayus to haalat nahin
log kis waste ghabrae hain
-
Tag : Ummeed
use gumāñ hai ki merī uḌaan kuchh kam hai
mujhe yaqīñ hai ki ye āsmān kuchh kam hai
use guman hai ki meri uDan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye aasman kuchh kam hai
inhī ġham kī ghaTāoñ se ḳhushī kā chāñd niklegā
añdherī raat ke parde meñ din kī raushnī bhī hai
inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai
musībat kā pahāḌ āḳhir kisī din kaT hī jā.egā
mujhe sar maar kar teshe se mar jaanā nahīñ aatā
musibat ka pahaD aaKHir kisi din kaT hi jaega
mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata
maujoñ kī siyāsat se māyūs na ho 'fānī'
girdāb kī har tah meñ sāhil nazar aatā hai
maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'
girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai
-
Tags : Motivationaland 1 more
go aable haiñ paañv meñ phir bhī ai rahravo
manzil kī justujū hai to jaarī rahe safar
go aable hain panw mein phir bhi ai rahrawo
manzil ki justuju hai to jari rahe safar
-
Tags : Motivationaland 1 more
dāman jhaTak ke vādī-e-ġham se guzar gayā
uTh uTh ke dekhtī rahī gard-e-safar mujhe
daman jhaTak ke wadi-e-gham se guzar gaya
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
tundī-e-bād-e-muḳhālif se na ghabrā ai uqaab
ye to chaltī hai tujhe ūñchā uḌāne ke liye
tundi-e-baad-e-muKHalif se na ghabra ai uqab
ye to chalti hai tujhe uncha uDane ke liye
lazzat-e-ġham to baḳhsh dī us ne
hausle bhī 'adam' diye hote
lazzat-e-gham to baKHsh di us ne
hausle bhi 'adam' diye hote
-
Tag : Gham
jin hausloñ se merā junūñ mutma.in na thā
vo hausle zamāne ke meyār ho ga.e
jin hauslon se mera junun mutmain na tha
wo hausle zamane ke meyar ho gae
banā letā hai mauj-e-ḳhūn-e-dil se ik chaman apnā
vo pāband-e-qafas jo fitratan āzād hotā hai
bana leta hai mauj-e-KHun-e-dil se ek chaman apna
wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai