ALL
Profile
Ghazal46
Nazm40
Sher21
E-book157
Image Shayari5
Audio13
Video15
Qita58
Article9
Short story3
Gallery 4
Blog2
Other
Ali Sardar Jafri
Ghazal 46
Nazm 40
Sher-o-Shayari 21
kaam ab koī na aa.egā bas ik dil ke sivā
rāste band haiñ sab kūcha-e-qātil ke sivā
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
inqalāb aa.egā raftār se māyūs na ho
bahut āhista nahīñ hai jo bahut tez nahīñ
inqalab aaega raftar se mayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
- Add to favorites
-
Share this
sau milīñ zindagī se sauġhāteñ
ham ko āvārgī hī raas aa.ī
sau milin zindagi se saughaten
hum ko aawargi hi ras aai
- Add to favorites
-
Share this
purāne saal kī ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ
na.e din kā nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
- Add to favorites
-
Share this
dāman jhaTak ke vādī-e-ġham se guzar gayā
uTh uTh ke dekhtī rahī gard-e-safar mujhe
daman jhaTak ke wadi-e-gham se guzar gaya
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
- Add to favorites
-
Share this
Qita 58
Article 9
Short story 3
BOOKS 157
Image Shayari 5
zulm kii kuchh mii.aad nahii.n hai daad nahii.n fariyaad nahii.n hai qatl hu.e hai.n ab tak kitne kuu-e-sitam ko yaad nahii.n hai aaKHir ro.e.n kis ko kis ko kaun hai jo barbaad nahii.n hai qaid chaman bhii ban jaataa hai murG-e-chaman aazaad nahii.n hai lutf hii kyaa gar apne muqaabil satvat-e-barq-o-baad nahii.n hai sab ho.n shaadaa.n sab ho.n KHandaa.n tanhaa ko.ii shaad nahii.n hai daavat-e-ra.ng-o-nik.hat hai ye KHanda-e-gul barbaad nahii.n hai
Videos 15
