Bismil Azimabadi
Ghazal 30
Sher-o-Shayari 28
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā bāzu-e-qātil meñ hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
-
Share this
- See Ghazal
vaqt aane de dikhā deñge tujhe ai āsmāñ
ham abhī se kyuuñ batā.eñ kyā hamāre dil meñ hai
waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman
hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai
-
Share this
- See Ghazal
na apne zabt ko rusvā karo satā ke mujhe
ḳhudā ke vāste dekho na muskurā ke mujhe
na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe
KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe
-
Share this
- See Ghazal
tum sun ke kyā karoge kahānī ġharīb kī
jo sab kī sun rahā hai kaheñge usī se ham
tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum
-
Share this
- See Ghazal
ho na māyūs ḳhudā se 'bismil'
ye bure din bhī guzar jā.eñge
ho na mayus KHuda se 'bismil'
ye bure din bhi guzar jaenge
-
Share this
- See Ghazal