Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum

Bismil Azimabadi

tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum

Bismil Azimabadi

tañg aa ga.e haiñ kyā kareñ is zindagī se ham

ghabrā ke pūchhte haiñ akele meñ se ham

majbūriyoñ ko apnī kaheñ kyā kisī se ham

laa.e ga.e haiñ, aa.e nahīñ haiñ ḳhushī se ham

kam-baḳht dil maan ga.e, baiThnā paḌā

yuuñ to hazār baar uThe us galī se ham

yārab! burā bhī ho dil-e-ḳhāna-ḳharāb

sharmā rahe haiñ is badaulat kisī se ham

din pahāḌ hai shab-e-ġham kyā ho kyā na ho

ghabrā rahe haiñ aaj sar-e-shām se ham

dekhā na tum ne aañkh uThā kar bhī ek baar

guzre hazār baar tumhārī galī se ham

matlab yahī nahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb

kahne meñ us ke aa.eñ guzar jaa.eñ se ham

chheḌā adū ne ruuTh ga.e saarī bazm se

bole ki ab na baat kareñge kisī se ham

tum sun ke kyā karoge kahānī ġharīb

jo sab sun rahā hai kaheñge usī se ham

mahfil meñ us ne ġhair ko pahlū meñ jagah

guzrī jo dil pe kyā kaheñ 'bismil' kisī se ham

tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum

ghabra ke puchhte hain akele mein ji se hum

majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum

lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum

kam-baKHt dil ki man gae, baiThna paDa

yun to hazar bar uThe us gali se hum

yarab! bura bhi ho dil-e-KHana-KHarab ka

sharma rahe hain is ki badaulat kisi se hum

din hi pahaD hai shab-e-gham kya ho kya na ho

ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se hum

dekha na tum ne aankh uTha kar bhi ek bar

guzre hazar bar tumhaari gali se hum

matlab yahi nahin dil-e-KHana-KHarab ka

kahne mein us ke aaen guzar jaen ji se hum

chheDa adu ne ruTh gae sari bazm se

bole ki ab na baat karenge kisi se hum

tum sun ke kya karoge kahani gharib ki

jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum

mahfil mein us ne ghair ko pahlu mein di jagah

guzri jo dil pe kya kahen 'bismil' kisi se hum

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now