Sher on Teer
Yes, teer, or arrow,
too can be the subject of poetry. It is so because an arrow is not a mere physical object used in a war or duet, it is also a metaphor for even the beloved’s eyes. Poets have appropriated the image of arrow differently but always interestingly. Here are some examples.
tiir khāne kī havas hai to jigar paidā kar
sarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar
ik parinda abhī uḌaan meñ hai
tiir har shaḳhs kī kamān meñ hai
ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
-
Tag : Parinda
ik aur tiir chalā apnā ahd puurā kar
abhī parinde meñ thoḌī sī jaan baaqī hai
ek aur tir chala apna ahd pura kar
abhi parinde mein thoDi si jaan baqi hai
tiir pe tiir nishānoñ pe nishāne badle
shukr hai husn ke andāz purāne badle
tir pe tir nishanon pe nishane badle
shukr hai husn ke andaz purane badle
zindagī ke hasīn tarkash meñ
kitne be-rahm tiir hote haiñ
zindagi ke hasin tarkash mein
kitne be-rahm tir hote hain
shukriya reshmī dilāse kā
tiir to aap ne bhī maarā thā
shukriya reshmi dilase ka
tir to aap ne bhi mara tha
-
Tag : Shukriya
hāl-e-ġham kah ke ġham baḌhā baiThe
tiir maare the tiir khā baiThe
haal-e-gham kah ke gham baDha baiThe
tir mare the tir kha baiThe
mīThī bāteñ, kabhī talḳh lahje ke tiir
dil pe har din hai un kā karam bhī nayā
miThi baaten, kabhi talKH lahje ke tir
dil pe har din hai un ka karam bhi naya
jañg kā hathiyār tai kuchh aur thā
tiir siine meñ utārā aur hai
jang ka hathiyar tai kuchh aur tha
tir sine mein utara aur hai
kab un āñkhoñ kā sāmnā na huā
tiir jin kā kabhī ḳhatā na huā
kab un aankhon ka samna na hua
tir jin ka kabhi KHata na hua
kitne hī zaḳhm haiñ mire ik zaḳhm meñ chhupe
kitne hī tiir aane lage ik nishān par
kitne hi zaKHm hain mere ek zaKHm mein chhupe
kitne hi tir aane lage ek nishan par
barsāo tiir mujh pe magar itnā jaan lo
pahlū meñ dil hai dil meñ tumhārā ḳhayāl hai
barsao tir mujh pe magar itna jaan lo
pahlu mein dil hai dil mein tumhaara KHayal hai
yuuñ taras khā ke na pūchho ahvāl
tiir siine pe lagā ho jaise
yun taras kha ke na puchho ahwal
tir sine pe laga ho jaise
kis se pūchheñ ki vo andāz-e-nazar
kab tabassum huā kab tiir huā
kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar
kab tabassum hua kab tir hua
tiir o kamān aap bhī 'mohsin' sambhāliye
jab dostī kī aaḌ meñ ḳhanjar dikhā.ī de
tir o kaman aap bhi 'mohsin' sambhaaliye
jab dosti ki aaD mein KHanjar dikhai de
kab nikaltā hai ab jigar se tiir
ye bhī kyā terī āshnā.ī hai
when does your arrow leave my heart?
what bond for you does this display?
kab nikalta hai ab jigar se tir
ye bhi kya teri aashnai hai
when does your arrow leave my heart?
what bond for you does this display?
karbalā meñ ruḳh-e-asġhar kī taraf
tiir chalte nahīñ dekhe jaate
karbala mein ruKH-e-asghar ki taraf
tir chalte nahin dekhe jate
ye nād-e-alī kā ajab mo.ajiza thā
sabhī tiir palTe kamānoñ kī jānib
ye nad-e-ali ka ajab moajiza tha
sabhi tir palTe kamanon ki jaanib
ġhair par kyuuñ nigāh karte ho
mujh ko is tiir kā nishāna karo
ghair par kyun nigah karte ho
mujh ko is tir ka nishana karo
vaqt mohlat na degā phir tum ko
tiir jis dam kamān se niklā
waqt mohlat na dega phir tum ko
tir jis dam kaman se nikla
marhale aur aane vaale haiñ
tiir apnā abhī kamān meñ rakh
marhale aur aane wale hain
tir apna abhi kaman mein rakh
terā andāz nirālā sab se
tiir to ek nishāne kyā kyā
tera andaz nirala sab se
tir to ek nishane kya kya
tere mizhgāñ kī kyā karūñ tārīf
tiir ye be-kamān jaatā hai
tere mizhgan ki kya karun tarif
tir ye be-kaman jata hai
chalegā tiir jab apnī duā kā
kaleje dushmanoñ ke chhān degā
chalega tir jab apni dua ka
kaleje dushmanon ke chhan dega
mohabbat tiir hai aur tiir bātin chhed detā hai
magar niyyat ġhalat ho to nishāne par nahīñ lagtā
mohabbat tir hai aur tir baatin chhed deta hai
magar niyyat ghalat ho to nishane par nahin lagta
jiine kī nahīñ umiid ham ko
tiir us kā jigar ke paar niklā
jine ki nahin umid hum ko
tir us ka jigar ke par nikla
namī jagah banā rahī hai aañkh meñ
ye tiir ab kamān se nikāliye
nami jagah bana rahi hai aankh mein
ye tir ab kaman se nikaliye
ho ga.e ruḳhsat 'ra.īs' o 'ālī' o 'vāsif' 'nisār'
rafta rafta āgara 'sīmāb' suunā ho gayā
ho gae ruKHsat 'rais' o 'ali' o 'wasif' 'nisar'
rafta rafta aagara 'simab' suna ho gaya
palak fasāna sharārat hijāb tiir duā
tamannā niiñd ishāra ḳhumār saḳht thakī
palak fasana shararat hijab tir dua
tamanna nind ishaara KHumar saKHt thaki
qatl ke kab the ye saare sāmāñ
ek tiir ek kamāñ thī pahle
qatl ke kab the ye sare saman
ek tir ek kaman thi pahle
ek tīr-e-nazar idhar maaro
dil tarastā hai jaañ tarastī hai
ek tir-e-nazar idhar maro
dil tarasta hai jaan tarasti hai
maiñ bhī 'tasavvur' un meñ thā
jin ke tiir ḳhatā ke the
main bhi 'tasawwur' un mein tha
jin ke tir KHata ke the
ye tiir yuuñ hī nahīñ dushmanoñ talak jaate
badan kā saarā khichāo kamāñ pe paḌtā hai
ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate
badan ka sara khichao kaman pe paDta hai
-
Tag : Badan
bach gayā tīr-e-nigāh-e-yār se
vāqa.ī ā.īna hai faulād kā
bach gaya tir-e-nigah-e-yar se
waqai aaina hai faulad ka
zaḳhm kaarī bahut lagā dil par
tiir apnoñ ne ik chalāyā thā
zaKHm kari bahut laga dil par
tir apnon ne ek chalaya tha
nishāna bane dil rahe tiir dil meñ
nishānī nahīñ is nishānī se achchhī
nishana bane dil rahe tir dil mein
nishani nahin is nishani se achchhi
dil jo ummīd-vār hotā hai
tīr-e-ġham kā shikār hotā hai
dil jo ummid-war hota hai
tir-e-gham ka shikar hota hai
tiir mat dekh mire zaḳhm ko dekh
yār-e-yār apnā adū meñ gum hai
tir mat dekh mere zaKHm ko dekh
yar-e-yar apna adu mein gum hai
sab nishāne agar sahīh hote
tiir koī ḳhatā nahīñ hotā
sab nishane agar sahih hote
tir koi KHata nahin hota
tiir par tiir lage to bhī na paikāñ nikle
yārab is ghar meñ jo aave na vo mehmāñ nikle
tir par tir lage to bhi na paikan nikle
yarab is ghar mein jo aawe na wo mehman nikle
ham bhī haiñ 'bilqīs' majrūhīn meñ
ham pe bhī tiir o tabar chalte rahe
hum bhi hain 'bilqis' majruhin mein
hum pe bhi tir o tabar chalte rahe
ret par vo paḌī hai mushk koī
tiir bhī aur kamān sā kuchh hai
ret par wo paDi hai mushk koi
tir bhi aur kaman sa kuchh hai