Mirza Maseeta Beg Muntahi
Ghazal 25
Sher-o-Shayari 34
hai ḳhushī apnī vahī jo kuchh ḳhushī hai aap kī
hai vahī manzūr jo kuchh aap ko manzūr ho
hai KHushi apni wahi jo kuchh KHushi hai aap ki
hai wahi manzur jo kuchh aap ko manzur ho
- Add to favorites
-
Share this
hai daulat-e-husn paas tere
detā nahīñ kyuuñ zakāt is kī
hai daulat-e-husn pas tere
deta nahin kyun zakat is ki
- Add to favorites
-
Share this
ḳhud rahm kījiye dil-e-ummīd-vār par
aaphī nikāliye koī sūrat nibāh kī
KHud rahm kijiye dil-e-ummid-war par
aaphi nikaliye koi surat nibah ki
- Add to favorites
-
Share this
yuuñ intizār-e-yār meñ ham umr bhar rahe
jaise nazar ġharīb kī allāh par rahe
yun intizar-e-yar mein hum umr bhar rahe
jaise nazar gharib ki allah par rahe
- Add to favorites
-
Share this
chalegā tiir jab apnī duā kā
kaleje dushmanoñ ke chhān degā
chalega tir jab apni dua ka
kaleje dushmanon ke chhan dega
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal