Jina Quraishi
Ghazal 13
Sher-o-Shayari 4
ye nād-e-alī kā ajab mo.ajiza thā
sabhī tiir palTe kamānoñ kī jānib
ye nad-e-ali ka ajab moajiza tha
sabhi tir palTe kamanon ki jaanib
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mirī bebasī pe na muskurā ye bajā ki maiñ tirī ḳhāk-e-pā
jo hilā ke rakh de falak ko bhī vo asar hai ab mirī aah meñ
meri bebasi pe na muskura ye baja ki main teri KHak-e-pa
jo hila ke rakh de falak ko bhi wo asar hai ab meri aah mein
- Add to favorites
-
Share this
har baar suhūlat se mujhe bhūlne vaale
is baar kahīñ maiñ bhī tujhe bhuul na jā.ūñ
har bar suhulat se mujhe bhulne wale
is bar kahin main bhi tujhe bhul na jaun
- Add to favorites
-
Share this
tū muḳhil jab se huā hai mirī tanhā.ī meñ
ai ġham-e-yār mirī ḳhud se mulāqāt ga.ī
tu muKHil jab se hua hai meri tanhai mein
ai gham-e-yar meri KHud se mulaqat gai
- Add to favorites
-
Share this