Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Shayari on Trains

A train makes us reminisce

about a lot of things. The Excitement filled curiosity as a child, The joy of visiting a beautiful place we always wanted to, Or The pain of saying goodbye to a loved one. Read these selected couplets on Trains by our brilliant urdu poets and go on an emotional journey.

mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ

jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā

mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun

jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

rail dekhī hai kabhī siine pe chalne vaalī

yaad to hoñge tujhe haath hilāte hue ham

rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali

yaad to honge tujhe hath hilate hue hum

Nomaan Shauque

raat thī jab tumhārā shahr aayā

phir bhī khiḌkī to maiñ ne khol

raat thi jab tumhaara shahr aaya

phir bhi khiDki to main ne khol hi li

Shariq Kaifi

kisī rail guzartī hai

maiñ kisī pul thartharātā huuñ

tu kisi rail si guzarti hai

main kisi pul sa thartharaata hun

Dushyant Kumar

yādoñ rail aur kahīñ rahī thī phir

zanjīr khīñch kar utarnā paḌā mujhe

yaadon ki rail aur kahin ja rahi thi phir

zanjir khinch kar hi utarna paDa mujhe

Zehra Shah

ik dandanātī rail umreñ guzar ga.iiñ

do pTriyoñ ke beach vahī fāsle rahe

ek dandanati rail si umren guzar gain

do pTriyon ke beach wahi fasle rahe

Mohammad Asadullah

jaane kis aas lagī hai jaane kis ko aanā hai

koī rail siiTī sun kar sote se uTh jaatā hai

jaane kis ki aas lagi hai jaane kis ko aana hai

koi rail ki siTi sun kar sote se uTh jata hai

Sabir Waseem

'anjum' tumhārā shahr jidhar hai usī taraf

ik rail rahī thī ki tum yaad aa ga.e

'anjum' tumhaara shahr jidhar hai usi taraf

ek rail ja rahi thi ki tum yaad aa gae

Anjum Rehbar

us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahrī nahīñ

vahāñ bhī chand musāfir utarne vaale the

us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahri nahin

wahan bhi chand musafir utarne wale the

Jamal Ehsani

jaise rail har khiḌkī apnī apnī duniyā hai

kuchh manzar to ban nahīñ paate kuchh pīchhe rah jaate haiñ

jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai

kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain

Amjad Islam Amjad

sarmā raat rail Dibbā udāsiyāñ

lambā safar hai aur tirā saath bhī nahīñ

sarma ki raat rail ka Dibba udasiyan

lamba safar hai aur tera sath bhi nahin

Saleem Betab

sub.h-e-kāzib havā meñ dard thā kitnā 'munīr'

rail siiTī bajī to dil lahū se bhar gayā

subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir'

rail ki siTi baji to dil lahu se bhar gaya

Muneer Niyazi

gaaḌī aatī hai lekin aatī nahīñ

rail paTrī dekh ke thak jaatā huuñ maiñ

gaDi aati hai lekin aati hi nahin

rail ki paTri dekh ke thak jata hun main

Mohammad Alvi

pīchhe pīchhe raat thī tāroñ ik lashkar liye

rail paTrī pe sūraj chal rahā thā raat ko

pichhe pichhe raat thi taron ka ek lashkar liye

rail ki paTri pe suraj chal raha tha raat ko

Bashir Badr

abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ

kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon

kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka

Aitbar Sajid

kaun kitnā zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko

rail jab chalne lagegī faisla ho jā.egā

kaun kitna zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko

rail jab chalne lagegi faisla ho jaega

Khwaja Sajid

rail-gāḌī ke safar meñ ye huā hai aksar

log baiThe hue sāmān badal dete haiñ

rail-gaDi ke safar mein ye hua hai aksar

log baiThe hue saman badal dete hain

Saeed Rahmani

is tarah rail ke hamrāh ravāñ hai bādal

saath jaise koī uḌtā huā mai-ḳhāna chale

is tarah rail ke hamrah rawan hai baadal

sath jaise koi uDta hua mai-KHana chale

Akhtar Shirani

dhueñ rail chalī manzaroñ meñ dukh gūñjā

safar baat bhī hai baat chhoḌ jaane

dhuen ki rail chali manzaron mein dukh gunja

safar ki baat bhi hai baat chhoD jaane ki

Waqas Aziz

rail paTrī ne us ke TukḌe TukḌe kar diye

aap apnī zaat se us ko bahut inkār thā

rail ki paTri ne us ke TukDe TukDe kar diye

aap apni zat se us ko bahut inkar tha

Ateequllah

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now