Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

ik saañp mujh ko chuum ke tiryāq de gayā

lekin vo apne saath mirā zahr le gayā

aksar badan qaid se āzād ho ke bhī

apnā aks duur se maiñ dekhne gayā

duniyā har libās pahannā paḌā use

ik shaḳhs jab nikal ke mire jism se gayā

aisī jagah ki maut bhī Dar jaa.e dekh kar

maiñ ḳhud ko zindagī se bahut duur le gayā

mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ

jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā

kitnī subuk aaj mire ghar shaam thī

maiñ filoñ bojh uThā.e hue gayā

ash'ār nuzūl hai ḳhālī dimāġh meñ

ai 'kaif' na jaane kahāñ chhoḌne gayā

ek sanp mujh ko chum ke tiryaq de gaya

lekin wo apne sath mera zahr le gaya

aksar badan ki qaid se aazad ho ke bhi

apna hi aks dur se main dekhne gaya

duniya ka har libas pahanna paDa use

ek shaKHs jab nikal ke mere jism se gaya

aisi jagah ki maut bhi Dar jae dekh kar

main KHud ko zindagi se bahut dur le gaya

mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun

jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya

kitni subuk si aaj mere ghar ki sham thi

main filon ka bojh uThae hue gaya

ash'ar ka nuzul hai KHali dimagh mein

ai 'kaif' tu na jaane kahan chhoDne gaya

Source :
  • Book : shab khuun (50) (rekhta website) (Pg. 59)
  • Edition : 1970
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now