Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain

Amjad Islam Amjad

sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain

Amjad Islam Amjad

shaam Dhale jab bastī vaale lauT ke ghar ko aate haiñ

aahaT aahaT dastak dastak kyā kyā ham ghabrāte haiñ

ahl-e-junūñ to dil sadā par jaan se apnī bhī chuke

ahl-e-ḳhirad ab jaane ham ko kyā samjhāne aate haiñ

jaise rail har khiḌkī apnī apnī duniyā hai

kuchh manzar to ban nahīñ paate kuchh pīchhe rah jaate haiñ

jis har ik iiñT meñ jazb haiñ un ke apne aañsū

vaa.e ki ab vo ahl-e-duā is mehrāb ko Dhāte haiñ

aaj shab to kaT chalī hai ḳhvāboñ aur sarāboñ meñ

aane vaale din ab dekheñ kyā manzar dikhlāte haiñ

saarī umr dil se apnā aisā kuchh bartāv rahā

jaise khel meñ hārne vaale bachche ko bahlāte haiñ

nā-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-vafā kar sakte haiñ

paanī aur havā par dekho kyā kyā naqsh banāte haiñ

sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain

aahaT aahaT dastak dastak kya kya hum ghabraate hain

ahl-e-junun to dil ki sada par jaan se apni ja bhi chuke

ahl-e-KHirad ab jaane hum ko kya samjhane aate hain

jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai

kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain

jis ki har ek inT mein jazb hain un ke apne hi aansu

wae ki ab wo ahl-e-dua hi is mehrab ko Dhate hain

aaj ki shab to kaT hi chali hai KHwabon aur sarabon mein

aane wale din ab dekhen kya manzar dikhlate hain

sari umr hi dil se apna aisa kuchh bartaw raha

jaise khel mein haarne wale bachche ko bahlate hain

na-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa kar sakte hain

pani aur hawa par dekho kya kya naqsh banate hain

Source :
  • Book : Nazdik (Pg. 107)
  • Author : Amjad Islam Amjad
  • Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (2014)
  • Edition : 2014
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now