Sher on Sukoon
Human beings naturally
crave for a moment of peace and tranquility. It is, however, a moment that slips out quite often and we remain in a constant state of craving. This selection opens up various shades of this condition that evades us and brings us close to pining, disappointment, and dejection. You may like to have a look at the selection of verses on this subject.
baḌe sukūn se afsurdagī meñ rahtā huuñ
maiñ apne sāmne vaalī galī meñ rahtā huuñ
baDe sukun se afsurdagi mein rahta hun
main apne samne wali gali mein rahta hun
ġham hai to koī lutf nahīñ bistar-e-gul par
jī ḳhush hai to kāñToñ pe bhī ārām bahut hai
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji KHush hai to kanTon pe bhi aaram bahut hai
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
-
Tags : Famous shayariand 7 more
maut kī god meñ jab tak nahīñ tū so jaatā
tū 'sadā' chain se hargiz nahīñ sone vaalā
maut ki god mein jab tak nahin tu so jata
tu 'sada' chain se hargiz nahin sone wala
-
Tags : Mautand 1 more
qarār dil ko sadā jis ke naam se aayā
vo aayā bhī to kisī aur kaam se aayā
qarar dil ko sada jis ke nam se aaya
wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya
sukūn de na sakīñ rāhateñ zamāne kī
jo niiñd aa.ī tire ġham kī chhāñv meñ aa.ī
sukun de na sakin rahaten zamane ki
jo nind aai tere gham ki chhanw mein aai
kis ne paayā sukūn duniyā meñ
zindagānī kā sāmnā kar ke
kis ne paya sukun duniya mein
zindagani ka samna kar ke
sukūn-e-dil ke liye ishq to bahāna thā
vagarna thak ke kahīñ to Thahar hī jaanā thā
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
-
Tags : Diland 1 more
ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil
ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
ye kis azaab meñ chhoḌā hai tū ne is dil ko
sukūn yaad meñ terī na bhūlne meñ qarār
ye kis azab mein chhoDa hai tu ne is dil ko
sukun yaad mein teri na bhulne mein qarar
-
Tags : Kashmakashand 1 more
na jaane ruuTh ke baiThā hai dil kā chain kahāñ
mile to us ko hamārā koī salām kahe
na jaane ruTh ke baiTha hai dil ka chain kahan
mile to us ko hamara koi salam kahe
naam hoñToñ pe tirā aa.e to rāhat sī mile
tū tasallī hai dilāsa hai duā hai kyā hai
nam honTon pe tera aae to rahat si mile
tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai
-
Tags : Ishqand 1 more
mai-kada hai yahāñ sukūñ se baiTh
koī aafat idhar nahīñ aatī
mai-kada hai yahan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
manzil pe bhī pahuñch ke mayassar nahīñ sakūñ
majbūr is qadar haiñ shu.ūr-e-safar se ham
manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se hum
milā na ghar se nikal kar bhī chain ai 'zāhid'
khulī fazā meñ vahī zahr thā jo ghar meñ thā
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
-
Tag : Ghar
kise ḳhabar ki ahl-e-ġham sukūn kī talāsh meñ
sharāb kī taraf ga.e sharāb ke liye nahīñ
kise KHabar ki ahl-e-gham sukun ki talash mein
sharab ki taraf gae sharab ke liye nahin
sukūn-e-dil jahān-e-besh-o-kam meñ DhūñDne vaale
yahāñ har chiiz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā
sukun-e-dil jahan-e-besh-o-kam mein DhunDne wale
yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta