Sher on Muskurahat
We generally consider
smile to be a common facial expression and we tend to ignore its real value and worth. In the shers selected under this category, you would come across smile as a significant human act reflecting many moods. Smiles have so much to tell when it comes to love and romance. The smiles of lovers, for example, open up worlds of wonder. Enter this amazing world and enjoy its infinite appeal.
hamārī muskurāhaT par na jaanā
diyā to qabr par bhī jal rahā hai
hamari muskurahaT par na jaana
diya to qabr par bhi jal raha hai
ai ġham-e-zindagī na ho nārāz
mujh ko aadat hai muskurāne kī
ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki
-
Tag : Gham
tum hañso to din nikle chup raho to rāteñ haiñ
kis kā ġham kahāñ kā ġham sab fuzūl bāteñ haiñ
tum hanso to din nikle chup raho to raaten hain
kis ka gham kahan ka gham sab fuzul baaten hain
muskurāhaT hai husn kā zevar
muskurānā na bhuul jaayā karo
muskurahaT hai husn ka zewar
muskurana na bhul jaya karo
dil meñ tūfān ho gayā barpā
tum ne jab muskurā ke dekh liyā
dil mein tufan ho gaya barpa
tum ne jab muskura ke dekh liya
dhuup niklī hai bārishoñ ke ba.ad
vo abhī ro ke muskurā.e haiñ
dhup nikli hai barishon ke baad
wo abhi ro ke muskurae hain
ek aisā bhī vaqt hotā hai
muskurāhaT bhī aah hotī hai
ek aisa bhi waqt hota hai
muskurahaT bhi aah hoti hai
bujh ga.ī sham.a kī lau tere dupaTTe se to kyā
apnī muskān se mahfil ko munavvar kar de
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kya
apni muskan se mahfil ko munawwar kar de
aur bhī kitne tarīqe haiñ bayān-e-ġham ke
muskurātī huī āñkhoñ ko to pur-nam na karo
aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo
muskurā kar dekh lete ho mujhe
is tarah kyā haq adā ho jā.egā
muskura kar dekh lete ho mujhe
is tarah kya haq ada ho jaega
yuuñ muskurā.e jaan sī kaliyoñ meñ paḌ ga.ī
yuuñ lab-kushā hue ki gulistāñ banā diyā
yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
ab aur is ke sivā chāhte ho kyā 'mullā'
ye kam hai us ne tumheñ muskurā ke dekh liyā
ab aur is ke siwa chahte ho kya 'mulla'
ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya
mere hoñToñ pe muskurāhaT hai
garche siine meñ daaġh rakhtā huuñ
mere honTon pe muskurahaT hai
garche sine mein dagh rakhta hun
muskurānā kabhī na raas aayā
har hañsī ek vārdāt banī
muskurana kabhi na ras aaya
har hansi ek wardat bani
nahīñ itāb-e-zamāna ḳhitāb ke qābil
tirā javāb yahī hai ki muskurā.e jā
nahin itab-e-zamana KHitab ke qabil
tera jawab yahi hai ki muskurae ja
mire habīb mirī muskurāhaToñ pe na jā
ḳhudā-gavāh mujhe aaj bhī tirā ġham hai
mere habib meri muskurahaTon pe na ja
KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai
mahfil meñ log chauñk paḌe mere naam par
tum muskurā diye mirī qīmat yahī to hai
mahfil mein log chaunk paDe mere nam par
tum muskura diye meri qimat yahi to hai
jaise pau phaT rahī ho jañgal meñ
yuuñ koī muskurā.e jaatā hai
jaise pau phaT rahi ho jangal mein
yun koi muskurae jata hai
shāmil nahīñ haiñ jis meñ terī muskurāhaTeñ
vo zindagī kisī bhī jahannam se kam nahīñ
shamil nahin hain jis mein teri muskurahaTen
wo zindagi kisi bhi jahannam se kam nahin
vahāñ salām ko aatī hai nañge paañv bahār
khile the phuul jahāñ tere muskurāne se
wahan salam ko aati hai nange panw bahaar
khile the phul jahan tere muskurane se
itnā royā huuñ ġham-e-dost zarā sā hañs kar
muskurāte hue lamhāt se jī Dartā hai
itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar
muskuraate hue lamhat se ji Darta hai
muskurāne kā yahī andāz thā
jab kalī chaTkī to vo yaad aa gayā
muskurane ka yahi andaz tha
jab kali chaTki to wo yaad aa gaya
muskurāne kī kyā zarūrat hai
aap yuuñ bhī udaas lagte haiñ
muskurane ki kya zarurat hai
aap yun bhi udas lagte hain
-
Tag : Mayoosi
jiine marne kā ek hī sāmān
us kī muskān ho ga.ī hogī
jine marne ka ek hi saman
us ki muskan ho gai hogi
vo muskurā ke koī baat kar rahā thā 'shumār'
aur us ke lafz bhī the chāñdnī meñ bikhre hue
wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'
aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue
guzar rahā hai idhar se to muskurātā jā
charāġh-e-majlis-e-rūhāniyāñ jalātā jā
guzar raha hai idhar se to muskuraata ja
charagh-e-majlis-e-ruhaniyan jalata ja
'nazīr' log to chehre badalte rahte haiñ
tū itnā saada na ban muskurāhaTeñ pahchān
'nazir' log to chehre badalte rahte hain
tu itna sada na ban muskurahaTen pahchan
diloñ ko tere tabassum kī yaad yuuñ aa.ī
ki jagmagā uTheñ jis tarah mandiroñ meñ charāġh
dilon ko tere tabassum ki yaad yun aai
ki jagmaga uThen jis tarah mandiron mein charagh
-
Tags : Charaghand 1 more
hamāre ghar se jaanā muskurā kar phir ye farmānā
tumheñ merī qasam dekho mirī raftār kaisī hai
hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana
tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai
zindagī bas muskurā ke rah ga.ī
kyoñ hameñ nāhaq rijhā ke rah ga.ī
zindagi bas muskura ke rah gai
kyon hamein nahaq rijha ke rah gai
-
Tag : Zindagi
uThāo camera tasvīr khīñch lo in kī
udaas log kahāñ roz muskurāte haiñ
uThao camera taswir khinch lo in ki
udas log kahan roz muskuraate hain