Sher on Hadsa
We live our lives in
our ways that are sometimes too constraining for us to put up with. There are many happenings in our lives that stay with us all life. Poetry brings some of them for us and helps us know life’s greater realities. You may like to have a look at this section that sensitizes you delicately.
ye jabr bhī dekhā hai tārīḳh kī nazroñ ne
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī
ye jabr bhi dekha hai tariKH ki nazron ne
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
-
Tags : Famous shayariand 5 more
vaqt kartā hai parvarish barsoñ
hādisa ek dam nahīñ hotā
waqt karta hai parwarish barson
hadisa ek dam nahin hota
tum abhī shahr meñ kyā na.e aa.e ho
ruk ga.e raah meñ hādsa dekh kar
tum abhi shahr mein kya nae aae ho
ruk gae rah mein hadsa dekh kar
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsa
maut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa
maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin
-
Tags : Mautand 1 more
hamāre pesh-e-nazar manzileñ kuchh aur bhī thiiñ
ye hādsa hai ki ham tere paas aa pahuñche
hamare pesh-e-nazar manzilen kuchh aur bhi thin
ye hadsa hai ki hum tere pas aa pahunche
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hādse
ham zindagī meñ phir koī armāñ na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse
hum zindagi mein phir koi arman na kar sake
-
Tags : Famous shayariand 3 more
'bānī' zarā sambhal ke mohabbat kā moḌ kaaT
ik hādsa bhī taak meñ hogā yahīñ kahīñ
'bani' zara sambhal ke mohabbat ka moD kaT
ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin
har na.e hādse pe hairānī
pahle hotī thī ab nahīñ hotī
har nae hadse pe hairani
pahle hoti thi ab nahin hoti
unheñ sadiyoñ na bhūlegā zamāna
yahāñ jo hādse kal ho ga.e haiñ
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gae hain
kise ḳhabar thī ki ye vāqi.a bhī honā thā
ki khel khel meñ ik hādsa bhī honā thā
kise KHabar thi ki ye waqia bhi hona tha
ki khel khel mein ek hadsa bhi hona tha
vo hādse bhī dahr meñ ham par guzar ga.e
jiine kī aarzū meñ ka.ī baar mar ga.e
wo hadse bhi dahr mein hum par guzar gae
jine ki aarzu mein kai bar mar gae
tasvīr-e-zindagī meñ nayā rañg bhar ga.e
vo hādse jo dil pe hamāre guzar ga.e
taswir-e-zindagi mein naya rang bhar gae
wo hadse jo dil pe hamare guzar gae
rañgīni-e-hayāt baḌhāne ke vāste
paḌtī hai hādsoñ kī zarūrat kabhī kabhī
rangini-e-hayat baDhane ke waste
paDti hai hadson ki zarurat kabhi kabhi
bastiyoñ meñ hone ko hādse bhī hote haiñ
pattharoñ kī zad par kuchh aa.ine bhī hote haiñ
bastiyon mein hone ko hadse bhi hote hain
pattharon ki zad par kuchh aaine bhi hote hain
hādse raah ke zevar haiñ musāfir ke liye
ek Thokar jo lagī hai to irāda na badal
hadse rah ke zewar hain musafir ke liye
ek Thokar jo lagi hai to irada na badal