Anand Narayan Mulla
Ghazal 58
Nazm 3
Sher-o-Shayari 37
vo kaun haiñ jinheñ tauba kī mil ga.ī fursat
hameñ gunāh bhī karne ko zindagī kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat
hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
-
Share this
- Translation
sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle
tū ne rokā bhī thā bande ko ḳhatā se pahle
TRANSLATION
On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,
Before he commited crime, any criminal did you stop?
Sagar Akbarabadi
sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle
TRANSLATION
On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,
Before he commited crime, any criminal did you stop?
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 28
Image Shayari 2
bhuule se bhii lab par suKHan apnaa nahii.n aataa haa.n haa.n mujhe duniyaa me.n panapnaa nahii.n aataa dil ko sar-e-ulfat bhii hai rusvaa.ii kaa Dar bhii us ko abhii is aa.nch me.n tapnaa nahii.n aataa ye ashk-e-musalsal hai.n mahaz ashk-e-musalsal haa.n naam tumhaaraa mujhe japnaa nahii.n aataa tum apne kaleje pe zaraa haath to rakkho kyuu.n ab bhii kahoge ki ta.Dapnaa nahii.n aataa mai-KHaane me.n kuchh pii chuke kuchh jaam-ba-kaf hai.n saaGar nahii.n aataa hai to apnaa nahii.n aataa zaahid se KHataa.o.n me.n to nikluu.ngaa na kuchh kam haa.n mujh ko KHataa.o.n pe panapnaa nahii.n aataa bhuule the unhii.n ke liye duniyaa ko kabhii ham ab yaad jinhe.n naam bhii apnaa nahii.n aataa dukh jaataa hai jab dil to ubal pa.Dte hai.n aa.nsuu 'mullaa' ko dikhaane kaa ta.Dapnaa nahii.n aataa