Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

Anand Narayan Mulla

sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle

    ne rokā bhī thā bande ko ḳhatā se pahle

    ashk āñkhoñ meñ haiñ hoñToñ pe bukā se pahle

    qāfila ġham chalā bāñg-e-darā se pahle

    haañ yahī dil jo kisī hai ab ā.īna-e-husn

    varaq-e-sāda thā ulfat jilā se pahle

    ibtidā se na de ziist mujhe dars is

    aur bhī baab to haiñ bāb-e-razā se pahle

    maiñ girā ḳhaak pe lekin kabhī tum ne sochā

    mujh pe kyā biit ga.ī laġhzish-e-pā se pahle

    ashk aate to the lekin ye chamak aur taḌap

    in meñ kab thī ġham-e-ulfat jilā se pahle

    dar-e-mai-ḳhāna se aatī hai sadā-e-sāqī

    aaj sairāb kiye jā.eñge pyāse pahle

    rāz-e-mai-noshi-e-'mullā' huā ifshā varna

    samjhā jaatā thā valī laġhzish-e-pā se pahle

    sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

    tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle

    ashk aankhon mein hain honTon pe buka se pahle

    qafila gham ka chala bang-e-dara se pahle

    han yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn

    waraq-e-sada tha ulfat ki jila se pahle

    ibtida hi se na de zist mujhe dars is ka

    aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle

    main gira KHak pe lekin kabhi tum ne socha

    mujh pe kya bit gai laghzish-e-pa se pahle

    ashk aate to the lekin ye chamak aur taDap

    in mein kab thi gham-e-ulfat ki jila se pahle

    dar-e-mai-KHana se aati hai sada-e-saqi

    aaj sairab kiye jaenge pyase pahle

    raaz-e-mai-noshi-e-'mulla' hua ifsha warna

    samjha jata tha wali laghzish-e-pa se pahle

    Source :
    • Book : Junoon (Pg. 166)
    • Author : Naseem Muqri
    • Publication : Naseem Muqri (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now