Anjum Ludhianvi
Ghazal 13
Sher-o-Shayari 16
dhuup niklī hai bārishoñ ke ba.ad
vo abhī ro ke muskurā.e haiñ
dhup nikli hai barishon ke baad
wo abhi ro ke muskurae hain
- Add to favorites
-
Share this
sub.h kā ḳhvāb umr bhar dekhā
aur phir niiñd aa ga.ī 'anjum'
subh ka KHwab umr bhar dekha
aur phir nind aa gai 'anjum'
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
dostī bandagī vafā-o-ḳhulūs
ham ye sham.a jalānā bhuul ga.e
dosti bandagi wafa-o-KHulus
hum ye shama jalana bhul gae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
niiñd kyuuñ TuuT ga.ī āḳhir-e-shab
kaun mere liye taḌpā hogā
nind kyun TuT gai aaKHir-e-shab
kaun mere liye taDpa hoga
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud-kushī karne meñ bhī nākām rah jaate haiñ ham
kaun amrit ghol detā hai hamāre zahr meñ
KHud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal